Tumhara naam musibat mey jab liya hoga,
Gunahghaar peh jab lutf Aap ka hoga, kiya baghayr kiya bey kiya kiya hoga
Khuda ka lutf huwa hoga dastagir zaroor, jo girthay girthay thera naam ley liya hoga
aur dikhaey jaaey gi mehshar mein shaane Mahboobi, keh Aap hi ki khushi Aap ka kaha hoga
Khudaey Paak ki chahein gey aglay pichlay khushi, Khudaey Paak khushi un ki chahtha hoga
Kisi key paaon ki beyri yeh kaat-thay hon gey, koi aseere gham unko pukaartha hoga
kisi taraf sey sada aaey gi Huzoor aaow! nahi tho dam mey ghareebon ka faisala hoga
aur kisi key pallay peh yeh hongay waqt wazne amal, koi umeed sey mooh unka tak raha hoga
koi kahay ga duhaahi hey Ya Rasulullah! tho koi thaam key daman machal gaya hoga
aur kisi ko ley key chalein gey farishtay sooey jaheem, tho woh un ka raastha phir phir key dekhta hoga
Shakistha paaon meyray haal ki khabr kar do, koi kisi sey yeh roh roh key keh raha hoga
Khuda key waasthay jald un say arzey haal karow, kisay khabr hai key dhambar mey haal kya hoga
pakar key haath koi haaley dil sunaaey ga, tho roh key qadmon pey koi machal gaya hoga
tho roh key qadmon pey koi lipat gaya hoga
zaban sooki dikha kar koi labay kauthar, Janabay Paak key qadmon pey gir gaya hoga
nishaaney husraway di door mey ghulaamon ko, liwaey hamd ka parcham batha raha hoga
koi qareebay tharazu koi labay kauthar, koi sirat pey unko pukaartha hoga
yeh beykaraar karay gi sada ghareebon ki, keh muqaddas ankhon sey thalaash ka bandha hoga
woh paak dil key nahi jisko apna andeysha, khoj mey fikr o tharado mey gir gaya hoga
hazaar jaan fida narm narm paaon sey, pukaar unkay aseeron ki daudtha hoga
azeez bachay ko ma jis tarhay talash karay, Khuda gawa yahi haal Aap ka hoga
Khudai bhar inhi haathon ko deykhthi hogi, zamana bhar unhi qadmon pey lowt-tha hoga
maqaam faasilon par kaam mukhtalif ithnay, woh din zahooray zamanay Huzoor ka hoga
kahein gey aur nabi 'iz habu ila ghairi', meray huzoor keh lab par 'ANA LAHA' hoga
'ANA LAHA' hoga 'ANA LAHA' hoga, 'ANA LAHA' hoga 'ANA LAHA' hoga
Duaey ummath badkaar wirday lab hogi, aur Khuda kay saamney sajdey mey sar jhuka hoga
ghulaam unki inayath say chayn mey hongay, aduw Huzoor ka aafath mey mubthala hoga
aur mey un key dar ka bikari hun fazlay Mouwla sey, Hassan faqeer ka jannat mey bistara hoga
ARMAAN NIKALTAI HAIN DIL KAY AAQA KI ZIYARAT HOTI HAI
AGAR ZOQAE AMAL KO AAJ AMEERAI KARWAAN KAR LAIN
JO HAR SHAIE KI HAQEEQAT HAI
WAJH HAI TAQHLEEQ AI DO AALAM
VOH YUN TASHREEF LAI HUM GUNAH GARON KAY JHURMUTH MAIN
IMAAM-UL-AMBIYA TUM HO RASOOL-E-MUJTABA TUM HO
JO SAB KAY PASHWA HAIN UNKAY AAQA PASHWA TUM HO.
HAQIQAT AAP KI SAMJHAI TO KYA SAMJHAI KHIRAD WALAY,
KHUDA WALAI YEH KEHTAY HAI KHUDA JANAI KAY KYA TUM HO.
TUMHARI WAQAE TAUSEEF HUM SAI GAIR MUMKIN HAI,
KAY HUM JO KUCH KAHAIN USSAI HAQEEQAT MAIN SIWA TUM HO.
KHUDA DETA HAI TUM TAQSEEM KARTAY HO ZAMANAY KO,
MIYAN-E-KHALIQ-O-MAKHLOOQ MOHKAM VASTA TUM HO.
MUJHAI PARWAH NAHI MOJAIN UTHAIN TUFAAN AA JAIN,
SHAKISTA HAI AGAR KASHTI TO GAM KYA NA KHUDA TUM HO.
VOH KAABA HAI JAHAN SAR JUKH RAHAI HAIN AHLAI AALAM KAY,
MAGAR KABA BHI JISKAY SAMNAI KHUM HO GAYA TUM HO.
DIL-E-TEHSEEN SAI GHUM KI GHATAIN CHAT GAEE AQAA
SUNA HAI JUB SAI USNAI SHAFAE ROZAI JAZA TUM HO.
Madad ka waqt hai aie Hazrate Ahmad raza utho
Madad ka waqt hai aie Hazrate Ahmad raza utho,
garibon ko sahara do mareezon ki dawa utho..
Rasoole paak (Sallallahu alaihiwasalam) ki izzat pe tum to ho liye qurba,
hume qurbaan ho jana sikha do aie Raza utho..
qayamat humpe hogi tum agar bhule qayamat me,
hamari bhi khabar rakhna jo tum roze jaza utho..
tumhare dar pe aaye hai bhikari bhik lene ko,
tum unki jholiyan bhar do bhala kar do raza utho..
qayamat hogi jab hogi zamana ab ye kehta hai,
kafan sarkao bahaar aao meshar hai bpa utho..
hamari bad naseebi thi ki tum hi uth gaye sar se,
hume saaye me ab lelo tum aie zille huma utho..
tumhare dekhne ko dil tadapta hai qayamat hai,
jhalak apni dikha do partave shere khuda utho..
koi dum me ab aata hai sada ye kabre anwar se,
idhar aao, badho HASNAIN lo apna sila utho....
Teri naal-e-muqaddas jiskae sar par saya gustar hai
wahi farma rawa-e-haft kishwar hai sikandar hai!!!
Hamare pass tha he kya jise qurban kar detai,
Bus ek tuta hua dil hai jo qadmo ki nichawar hai
Teri altaf-e-be paya teri chashme karam maula,
humhi par hai humhe par hai hume parhai hume par hai
Gazab he kar diya hasnain taiba sai palat aaye
Vo jetai je ki jannat hai voh jannat sai bhi barh kar hai!
Daagh-e furqat-e Tayba qalb muzmahil jaata
Daagh-e furqat-e Tayba qalb muzmahil jaata
Kaash Ghumbad-e Khazra dekhne ko mil jaata
Mera dum nikal jaata unke Aastane par
Unke Aastaane ki khaak meh mein mil jaata
Mere dil se dhul jaata daagh-e furqat-e Tayba
Tayba meh fanaa ho kar Tayba meh hi mil jaata
Maut le ke aa jaati zindagi Madine meh
Maut se gale mil kar zindagi meh mil jaata
Khuld zaar Tayba ka is tarha safar hota
Peeche peeche sar jaata aage aage dil jaata
Dil pe jub kiran parti unke subz Ghumbad ki
Uski subz rangat se baagh bun ke khil jaata
Furqat-e Madina ne wo diye mujhe sudme
Koh par agar parti koh bhi to hil jaata
Dil pe wo qadam rakhte Naqsh Paa ye dil banta
Yaa to khaak-e-paa bun kar paa se muttasil jaata
Un ke Dar pe Akhtar ki hasrate huwi poori
Saaile darre aqdas kaise munfail jaata
Jahaan Baani Ataa Kar De Bhari Jannat Hibah Kar De
Jahaan Baani Ataa Kar De Bhari Jannat Hibah Kar De
Nabi Mukhtaar-e-Kul Hai Jis Ko Jo Chaahe Ataa Kar De
Jahaan Mai UNKI Chalti Hai Woh Dum Mai Kya Se Kya Kar De
Zamee Ko Aasmaa Kar De Suraiyya Ko Saraa Kar De
Fizaa Mai Urne Waale Yoo Nah Itraaye Nidaa Kar De
Woh Jab Chaahe Jise Chaahe Oose Farmaa Rawaa Kar De
Meri Mushkil Ko Yoo Aasaan Mere Mushkil Kushaa Kar De
Har Ik Mauje Balaa Ko Mere Maula Naa Khuda Kar De
Ataa Ho Bekhudi Mujh Ko Khudi Meri Hawaa Kar De
Mujhe Yoo Apni Ulfat Mai Mere Maula Fanaa Kar De
Jahaan Mai Aam Paighaam-e-Shahe Ahmad Raza Kar De
Palat Kar Peechhe Dekhe Phir Se Tajdeed-e-Wafaa Kar De
Nabi Se Jo Ho Begaanaa Oose Dil Se Judaa Kar De
Pidar Maadar Biraadar Maal-o-Jaa Oon Par Fidaa Kar De
Munawwar Meri Aankhon Ko Mere Shamsud Duhaa Kar De
Ghamon Ki Dhoop Mai Woh Saaya-e-Zulfe Dotaa Kar De
Kisi Ko Woh Hasaate Hai Kisi Ko Woh Rulaate Hai
Woh Yoo Hi Aazmaate Hai Woh Ab Tau Faislah Kar De
Gule Taybah Mai Mil Jaaoo Gulo Mai Mil Ke Khil Jaaoo
Hayaate Jaawidaani Se Mujhe Yoo Aashnaa Kar De
Oonhe Manzoor Hai Jab Tak Yeh Daur-e-Aazmaaish Hai
Nah Chaahe Tau Abhi Woh Khatm Daur-e-Ibtilaa Kar De
Sage Aawaara-e-Sehraa Se Uktaa Si Gayi Duniya
Bachaao Ab Zamaane Ka Sagaan-e-Mustafa Kar De
Mujhe Kya Fikr Ho Akhter Mere Yaawar Hai Woh Yaawar
Balaao Ko Jo Meri Khud Giraftaar-e-Balaa Kar De
Basay hain jab se Madinay ke khaar Aankhon Mein
Hua hai Sehn-e-Chaman khaar zaar Aankhon Mein
Kuch aisa karday meray Kirdigar Aankhon Mein
Ke jalwagar rahay woh Gul Ezaar Aankhon Mein
Wo lala rukh ho agar jalwa baar Aankhon Mein
Bahaar-e-Lala ho phir paayedaar aankhno mai
Nazar yeh kehti hai be Ikhtiyaar Aankhon Mein
Inhain jo dekhain wohi hai hazaar Aankhon Mein
Inhain na dekha tou kis kaam ki hai ye Aankhien
Ke dekhnay ki hay saari bahaar Aankhon Mein
Abhi ho Rookash-e-Arsh-e-Bareen nazar mein
Jo aaey Arsh Nasheen Taajdaar Aankhon Mein
Nazar hai Rashk-e-Nazar Iftikhaar Aankhon Mein
Jisay karay wo Nazar Ikhiyaar Aankhon Mein
Bana’en dil ko wo ghar rah guzaar Aankhon Mein
Nazar ho kadmon pe inkay nisaar Aankhon Mein
Guzar ho inka kabhi be-Qaraar Aankhon Mein
Guhar hon Nazr-e-Qadam ashk baar Aankhon Mein
Khich aaee Jaan paey Intezaar Aankhon Mein
Karam se lijiye ab tou Qaraar Aankhon Mein
Karam se Jalwa karay jab nigaar Aankhon Mein
Khich aaey saari chaman ki bahaar Aankhon Mein
Phir aayen din meray AKHTER Shab-e-Huzoori mein
Karam se jalwa Karay jab Nigaar Aankhon Mein
Nighah-e-Mufti-e-Aazam ki hai ye Jalwagari
Chamak raha hay jo AKHTER hazaar Aankhon Mein
Har Nazar Kanp Uthegi Mehshar Ke Din,
Khauf Say Har Kaleja Dehal Jaega.
Par Yeh Naaz Unke Bande Ka Dekhege Sub,
Tham Kar Unka Damaan Machal Jaega.
Mauj Katra Ke Hum Say Chali Jaega,
Rukh Hawa Ka Mukhalif Badal Jaega.
Jab Ishara Karege Wohi NaKhuda,
Aapna Bedaa Bhawar Say Nikal Jaega.
Yhoun Toh Jita Houn Hukme Khuda Say Magar,
Mere Dil Ki Yakinan Hai Unko Khabar.
Hasil-E-Zindagi Hoga Woh Din Mera,
Unke Kadmo Pay Jab Dum Nikal Jaega.
Raab-E-Salim woh Farmane Wale Mile,
Kyu Sathate Hai Ae Dil Tujhe Waswase.
Puul Say Guzrege Hum Wajd Karte Huwe,
Kaun Kheta Hai Paaw Pisal Jaega.
AKHTER-E-KHASTA Kyun Itna Baychen Hai,
Tera Aaqa SHENSHAH-E-KONAIN Hai.
Loou Laga Toh Sahi SHAH-E-LAULAK Say,
Gum Masarat Ke Sache Mai Dhal Jaega.
Mujhe Chashme Rizwan udhar dhundti hai,
madine ko meri nazar dhundti hai..
meri ruh paunche gi taiba ko fauran,,
ye jibrail k balon par dhundti hai.
Mein Kyun Thokaren Darbadar Khaun Jakar,
Meri Aarzo Tera Dar Dhundti Hai
tumhare dayaro ki har ek masjid,,
azaan me bilali asar dhundti hai..
dume jang kehte the SIBTAIN HAIDER,
meri teg kafir ka sar dhundti hai.
LUTF E NAMAAZ
Mehboob hai Nabi Salallahu alaihiwasalam ko jamaat namaaz ki..
Lashkar ho tum khuda ka jamaat me aamilo,
fauji salaam hai ye jamaat namaaz ki..
Hai ambiya me khatme rasool Salallahu alaihiwasalam ka jo martaba,
vaisi ibaadaton me ibaadat namaaz ki..
Chamkenge dasto paaye mussalli baaroze hashr,
khul jayegi sabhi pe karamat namaaz ki..
Sajde... me the husain ki sar kar liya juda,
degi zamine sajda shahadat namaaz ki..
Mehshar me sabse pehle jise puchega khuda,
wo hai ibaadaton me ibaadat namaaz ki..
SIBTAIN ambiya Ahlesalaam va rasool Salallahu alaihiwasalam jis kadr hue,
karte rahe hai sab hi hidayat namaaz ki...
Allah hum sabko sahi maine me namaaz ada karne ki taufeeq ataa farmaye.
Najdiya Sakht hi Gandi Hai Tabiyat Teri
Kufr Kiya Shirk Ka Fuzla Hai Nijasat Teri
khaak Munh Mein Tere Kehta Hai Kise Khaak Ka Dher
Mit Gaya Deen Mili Khaak Mein Izzat Teri
Tere Nazdeek Huaa Kijb-e-Ila ahi Mumkin
Tujhpe Shaitan Ki Fatkaar Yeh Himmat Teri
Balke Kajjab Kiya Toone tu iqraar-o-W aqoo'a
Uff Re Napaak Yahan Tak hai Khabasat Teri
ilm Shaitan Ka Hua Ilm-e-Nabi Se Zayed
Padhun Lahoul Na Kiyon Dekh Ke Soorat Teri
Bazm-e-Mee lad Ho Kaanha Ke Janam Se Badtar
Arre Andhe Arre Mardood Yeh Jur'at Teri
ilm-e-Ghai bi Mein Majaneen-o -Bahayem Ka Shumool
Kufr Aamez Junu'n Za Hai Jihalat Teri
Yaad-e-Kha r Se ho Namazo Mein Khyal Unka Bura
Uff Jahannam Ke Gadhe Uff Ye KharafatTeri
Unki Tazeem karega na Agar Waqt-e-Nam az
Mari Jayegi Tere Munh Pe Ibadat Teri
Hai Kabhi Boom ki Hillat to Kabhi ZaaghHalal
Jeefa Khwari Ki Kahin Jati Hai Aadat Teri
Hans Ki Chaal to Kiya Aati Gayi Apni Bhi
Ijtihadon Se Hi Zahir Hai Himaqat Teri
Khule Lafzo Mein Kahe Qazi-e-Sho ka'n Madade
Yaa Ali Sun ke Bigad Jaye Tabiyat Teri
Teri Atke to Wakeelo'n Se Kare istimdaad
Aur Tabeebo'n Se Madad Khwah ho illatTeri
Hum Jo Allah Ke Piyaron se i'aanat Chahein
Shirk Ka Chirk Ugalne Lage Millat Teri
Abd-e-Waha b Ka Beta Hua Shaikh-e-N ajdi
Uski Taqleed Se sabit Hai Zalalat Teri
Ussi Mushrik Ki Tasneef Hai Kitab-ul-T ouheed
Jiske Her fiqra Pe Hai Mohr-e-Sad aqat Teri
Tarjuma Uska Hua Taqviyatul -eiman Naam
Jisse Benoor Huee Chashm-e-B aseerat Teri
Waqif-e-Gh aib Ka irshad Sunaau'n Jisne
Kholdi Tujhse Bahut Pehle Haqeeqat Teri
Zalzale Najd Mein Paida Ho Fitan Barpa Ho
Yani Zahir Ho zamana Mein Sharart Teri
Ho Ussi Khaak Se Shaitan Ki Sangat Paida
Dekh Le Aaj Hai Moujood Jama'at Teri
Sar Munde Honge to Pajame Ghutne Honge
Sar Se Paa Tak Yahi Poori Hai ShabahatTeri
Ad-dua Hoga Hadeeso Pe Amal Kerne Ka
Naam Rakhti Yahi Apna Jama'at Teri
Lekin Utrega Na Qur'aan Gale Se Neeche
Abhi Ghhabra Nahi Baqi Hai Hikayat Teri
Nikleinge Deen se Yoon Jaise Nishana Se Teer
Aaj Us Teer Ki Hai Sangeet Teri
Apni Halat Ko Hadeeson Ke Mutabiq Ker Le
Aap Khul Jayegi Fir Tujh Pe Khabasat Teri
Chhorh Ker Zikr Tera Ab Hai Khitab Apno se
Ke Hai Mabghooz Mujhe Dil se Hikayat Teri
Mere Piyare Mere Apne Mere Sunni Bhai
Aaj Kerni Mujhe Tujhse Shikayat Teri
Tujh se Jo Kehta Hun Tu Dil se Sun Insaf Bhi Ker
Kare Allah Ki Toufeeq Himayat Teri
Gar Tere Baap Ko Gaali de Koi Be Tehzeeb
Ghussa Aaye Abhi Kuch Aur Ho Halat Teri
Galiya'n Dein Unhe Shaitan-e- La'een KePairu
Jinke Sadqe Mein Hai Her Doulat-o-N emat Teri
Jo Tujhe Pyar Karein Jo Tujhe Apna Farmayein
Jinke Dil Ko Kare BeChain Aziyyat Teri
Jo Tere Waste Takleefein Uthayein Kiya Kiya
Apne Aaram se Pyari Jinhe Soorat Teri
Jaag Ker Ratein Ibadat Mein Jinhone Kaati
Kis Liye iss Liye Kat Jaye Museebat Teri
Hashr Ka Din Nahi Jis Roz Kisi Ka Koi
Uss Qayamat Mein Jo Farmayein Shafa'at Teri
Unke Dushman se Tujhe Rabt Rahe Mel Rahe
Sharm Allah Se Ker Kiya Huee Ghairat Teri
Toone Kiya Baap Ko Samjha Hai ziyada Unse
Josh Mein Aayi Jo Is Darja Hararat Teri
Unke Dushman Ko Agr Toone Na Samjha Dushman
Wo Qayamat Mein Na Kareinge RifaqatTeri
Unke Dushman Ka Jo Dushman Nahi Sach Kehta Hoon
Dawa Be Asl Hai Jhooti Hai Mohabbat Teri
Balke Eimaan Ki Jo Pooche to Hai Eiman Yahi
Unse ishq Unke Adu se Ho Adawat Teri
Ahl-e-Sunnat Ka Amal Teri Ghazal Pe HoHasan
Jab Main Janu Ke Thikane Lagi Mehnat Teri
Khwaja E Hind Wo Darbaar Hai Aala Tera
Khwaja E Hind Wo Darbaar Hai Aala Tera
Kabhi Mehroom Nahi Maangne Waala Tera
Khuftgane Shabe Ghaflat Ko Jaga Deta Hai
Saalhasaal Wo Raato Ka Na Sona Tera
Hai Teri Zaat Ajab Bahre Haqeeqat Pyare
Kisi Tairaak Ne Paaya Na Kinara Tera
Gulshan E Hind Se Shadaab Kaleje Thande
Wah Ay Abre Karam Zor Barasna Tera
Kya Mahak Hai Ki Mu'attar Hai Dimaag E Aalam
Takhta E Gulshan E Firdaus Hai Rouza Tera
Tujhme Hai Tarbiyate Khizr Ke Paida Aasaar
Bahro Bar Me Hume Milta Hai Sahara Tera
Zille Haq Ghous Pe Hai Ghous Ka Saaya Tujh Par
Saaya Gustar Sare Khuddam Pe Saaya Tera
Tujhko Baghdad Se Haasil Hui Wo Shaan E Rafe'a
Dang Rah Jaate Hai Sab Dekh Ke Rutba Tera
Kyo Na Baghdad Me Jaari Ho Tera Chashma E Faiz
Bahre Baghdad Hi Ki Nahar Hai Dariya Tera
Jabse Tune Qadme Ghous Liya Hai Sarr Par
Awliyah Sar Pe Qadam Lete Hai Shaha Tera
Muhiyyudi(n) Ghous Hai Aur Khwaja Mueenuddi(n) Hai
Ay Hasan Kyu Na Ho Mehfooz Aqeeda Tera
Aankhon Ka Taara Naam e Muhammad
Dil Ka Ujaalaa Naam e Muhammad
Allah Waala Dam Mein Banaa Day
Allah Waalaa Naam e Muhammad
Allahu Akbar Rab Ul Ulaa Nay
Har Shay Pay Likhaa Naam e Muhammad
Dolat Jo Chaaho Dono Jahaan Key
Kar Lo Wazeefa Naam e Muhammad
Nooh o Khaleel o Musa Eesa
Sab Ka Hein Aaqaa Naam e Muhammad
Pharthey Duroodain Dhorayn Gey Hooray
Laashaa Jo Lay Gaa Naam e Muhammad
Roz e Qayaamat Mizaan o Pul Par
Day Ga Sahaaraa Naam e Muhammad
Ghum Key Ghataaein Chaaey Hein Sar Par
Kar Day Ishaaraa Naam e Muhammad
Rakho Lahad Mein Jis Dam Azeezo
Mujh Ko Sunaana Naam e Muhammad
Poochay Ka Maula Hein Laayaa Kya Kya
Mein Yeh Kahoon Naam e Muhammad
Bayraa Tabaahey Mein Aagayaa Hein
Dayday Saharaa Naam e Muhammad
Apnay RAZA Kay Qurbaan Jaao
Jis Nay Sikhaayaa Naam e Muhammad
Apnay JAMEEL E RAZVI Kay Dil Mein
Aajaa Samaajaa Naam e Muhammad
(Salalalhu alaihiwasalam)
Dil mein ho yaad teri gosha e tanhaii ho
Phir tau khalwat mein ajab anjuman aaraii ho
A quiet corner and thoughts of you on my mind
What a gathering then in my solitude there´d be!
Aastaane pe tere sar ho, ajal aaii ho
Aur ay jaan e jahaan tu bhii tamashaii ho
My head on your doorstep with Death approaching
Oh Soul o´my soul, if only you too were watching!
Aaj jo aib kissi par nahin khulne dete
Kab voh chaheinge meri hashr mein rusvaii ho
He who doesn´t allow my faults to be made public
How would he allow me to be disgraced on Judgement Day?
Kabhi aisa na huwa unke karam kay sadaqay
Haath kay phailne se pehle na bheek aaii ho
This never happens that whilst seeking his grace
One did not receive charity ere the stretching out of the hand!
Uski qismat pe fida takht e shahi kii raahat
Khaak e Taiba pe jisse chain kii need aaii ho
May the comforts of kingship be sacrificed for the fate
Of one with the serenity of sleeping on Madina´s dust!
Band jab khwaab e ajal se hoN Hasan kii aankhein
Uski nazron mein tera jalwa e zaibaii ho
When Hasan´s eyes close with the onset of the Eternal Sleep
Let his sight be filled with your august vision!
(Sallallaho alaihi wa aalihi wa ashaabihi wabarik wasallam)
Dil dard se bismil ki tarha laut raha ho
Seene pe tasalli ko tera haath dharaa ho
Gar waqt-e-ajal sar teri chaukhat pe jhuka ho
Jitni ho qazaa ek hi sajde mein adaa ho
Tum zaat-e-khuda se na judaa ho na khuda ho
Allah ko maaloom hai kya jaaniye kya ho
Yeh kyun kahuun mujh ko yeh ataa ho yeh ataa ho
Woh do ke hameshaa mere ghar bhar ka bhalaa ho
Aata hai faqeeron pe unhi pyaar kuch aisa
Khud bheek dein aur khud kahe mangta ka bhalaa ho
Mangta to hai mangta koi shaahon mein dikhaade
Jisko mere Sarkaar se tukraa na mila ho
Mitti na hoo barbaad passe marde ilaahi
Jab khaak urey meri Madine ki hawaa ho
Dekha unhe mehshar mein to rahmat ne pukaaraa
Aazad hai jo aap ke daaman se bandha ho
Dhoonda hi karein sadr-e-qayaamat ke sipaahi
Woh kis ko mile jo tere daaman mein chupa ho
Shaabaash Hassan aur chamakti si ghazal parh
Dil khol kar aaina e iman ki jilaa ho
De daaliye apnay lab-e-jaan bakhsh ka sadqa
Ae chara-e-dil dard-e-hasan ki bhi dawa ho
Ser-e-Gulshan kaun dekhe dasht-e-Taiba chor kar
Sooe Jannat kaun jaaye dar tumhara chor kar
Sar guzasht-e-gham kahoon kise tere hote huwe
Kis ke dar pe jaauun tera Aastana chor kar
Mar hi jaaoon mein agar is dar se jaaoon do qadam
Kyaa bache bimaar-e-gham qurb-e-maseehaa chor kar
Bakhshwana mujh se aasee ka rwaa hoga kise
Kis ke daaman mein chupon daaman tumhara chor kar
Hashr mein ik ik mun jo takte phirte hain ‘udo
Aafton mein phans gaye inka sahara chor kar
Mar ke jeete hain jo unke dar pe jaate hain Hassan
Jii ke marte hain jo aate hain Madinah chor kar
Naats & Manqabat Lyrics Kalaam e Huzoor Sadrul Ulamma Hazrat Tahseen Raza khan RadiaAllahu anhu
Naats & Manqabat Lyrics Kalaam e Huzoor Sadrul Ulamma Hazrat Tahseen Raza khan RadiaAllahu anhu |
Imam ul Ambiya Tum Ho! |
Voh Yun Tashreef Lai |
Wajh hai Taqhleeq ai Do Aalam |
Jo Har Shaie Ki Haqeeqat hai |
Agar Zoqae Amal ko |
Armaan Nikaltai Hain |
. |
. |
. |
. |
. |
. |
. |
. |
. |
. |
. |
Naats & Manqabat Lyrics Kalaam e Huzoor Taju Shariah Akhtar Raza khan Azhari Maddazilahul Noorani
Naats & Manqabat Lyrics Kalaam e Huzoor Taju Shariah Akhtar Raza khan Azhari Maddazilahul Noorani
|
Har Nazar Kanp Uthegi Meshar ke Din |
Basay Hain Jab se Madinay ke Khaar |
Jahaan Baani Ataa kar de |
Daagh e Furqat e Tayba |
Shuja’ath Naaz karthi he jalaalath naaz karthi he |
YA GHOUS AL-MADAD |
SAMBHAL JAA AI DILE MUZTAR MADEENAH AANE WAALA HAI |
. |
. |
. |
. |
. |
. |
. |
. |
. |
. |
Naats & Manqabat Lyrics Kalaam e Hakim ul Islam Hazrat Hasnain Raza khan RadiaAllahu anhu
Naats & Manqabat Lyrics Kalaam e Hujjatul Islam Hazrat Hamid Raza Khan RadiaAllahu anhu
Naats & Manqabat Kalaam e Huzoor Ameen e Shariat Hazrat Sibtain Raza khan Maddazillahul Noorani
Naats & Manqabat Lyrics Kalaam e Huzoor Mufti e Azam Mustafa Raza khan RadiaAllahu anhu
Zehe Izzat-o I’tlaaye Muhammad
Ke He Arsh-E-Haqq Zer-E-Paaye Muhammad
Makaan Arsh Unka Falaq Farsh Unka
Malak Khaadmaan-E-Saraaye Muhammad
Khuda Ki Raza Chaahata Hain Do Aalam
Khuda Chaahata Hai Razaaye Muhammad
Ajab Kya Agar Raham Farmaaye Hum Par
Khudaaye Muhammad Baraaye Muhammad
Muhammad Baraaye Janaab-E-Ilaahi
Janaab-E-Ilaahi Baraaye Muhammad
Dam-E-Nazaa’ Jaari Ho Meri Zabaan Par
Muhammad Muhammad Khudaaye Muhammad
Mein Qurbaan Kya Pyaari Pyaari Hai Nisbat!
Yeh Aane Khuda Woh Khudaaye Muhammad
Khuda Unko Kis Pyaar Se Dekhta Hai
Joh Aankhein Hein Mah-We-Liqaaye Muhammad
Ijaabat Ka Sehra Inaayat Ka Joda
Dulhan Ban Ke Niklee Duaaye Muhammad
Raza Pul Se Ab Wajd Karte Guzariye
Ke Hai Rabbi Sallim Sadaaye Muhammad
(Sallallahu Alahi wa Sallam)
Peysh-e-Haq Mu(zh)da Shafa’at Ka Sunatay Jaayeingay
Aap Routay Jaayeingay Hum Ko Hasaatay Jaayeingay
Dil Nikal Jaanay Kee Jaa Hai Aah! Kin Aankhoo(n) Say Wo
Hum Say Piyaaso(n) Kay Liyay Darya Ba-ha-tay Jaayeingay
Haa(n) Chalo Hasrat Zad-oo(n) Suntay Hai(n) Wo Din Aaj Hai
(Th)ee Khabar Jisskee Kay Wo Jalwa Dikhaatay Jaayeingay
Ku(ch) (Kh)abar Bhee Hai Faqeero(n) Aaj Wo Din Hai Kay Wo
Na’mat-e-(Kh)uld Apnay Sadqay Mey(n) Luta-Tay Jaayeingay
Khaak Uftado Buss Unn Kay Aanay Hee Kee Dayr Hai
(Kh)ud Wo Girr Kar Sajda(h) Mey(n) Tum Ko Utha –Tay Jaayeingay
Wus’atey(n) Dee Hai(n) (Kh)uda Nay Daaman-e-Mehboob Ko
Jurm (Kh)ultay Jaayeingay Aur Wo (Ch)upatay Jaayeingay
Lo Wo Aayay Muskuratay Hum Aseero(n) Kee Taraf
(Kh)irman-e-Is’iyaa(n) Pay Bij-lee Gira-Tay Jaayeingay
Hash-ar Tak Daa-leyngay Hum Pey-Da-Ish-e-Maula Kee Dhoom
Miss-Lay Faa-Ris Najd Kay Qil Aey Gira-Tay Jaayeingay
Khaak Ho Jaayei(n) A’doo Jal Kar Magar Hum Tou Raza
Dum Mey(n) Jab Tak Dum Hai Zikr Unn Ka Suna-Tay Jaayeingay
Wo Kamaal-e-Husn-e-Huzoor Hay Kay Gumaan-e-Naqs Jahaan Nahin
Ba Khuda Khuda Ka Yehi Hay Darr Nahi Aur Koi Maffar Maqqar
Jou Wahaan Se Ho Yahin Aakay Ho Jou Yahaan Nahi Tou Wahan Nahin
Teyray Aagay Youn Hain Dabbay Lachay Fu-saha A’rab Kay Barray Barray Koi Jaanay Moo May Zubaan Nahin Nahin Balkay Jism Mein Jaan Nahin
Wohi Noor-e-Haq Wohi Zillay Rub Hai Unhee Say Sub Hai Unhee Ka Sub
Nahin Unki Milk Meyn Aasmaan Ke Zameen Nahin Ke Zamaan Nahin
Wohi Laa Makaan Kay Makeen Huay Sar-e-‘Arsh Takht Nasheen Huay
Wo Nabi Hai Jiss Kay Hain Ye Makaan Wo Khuda Hai Jiska Makaan Nahin
Sar-e-‘Ar(sh) Per Hai Teree Guzar Dil-e-Farsh Per Hai Teree Nazar
Malakoot-o-Mulk Mein Koi Shay Nahin Wo Tujh Pay A’yaan Nahin
Karoon Teray Naam Pay Jaa(n) Fida Na Buss Aik Jaa(n) Dou Jahaa(n) Fida
Dou Jahaan Say Bhi Nahin Jee Bharaa Karoon Kiya Karoron Jahaan Nahi
Karoon Madhay Ahle-e-Doel Raza Parray Iss Bala Meyn Meyree Balaa
Meyn Gada Hoon Apnay Kareem Ka Meyra Deen Paara-e-Naan Nahin
Wohi Rab Hai Jisne Tujh Ko Hama Tun Karam Banaya
Humein Bheek Maangne Ko Tera Aastaan Bataya
Tujhe Hamd Hai Khudaya Tujhe Hamd Hai Khudaya
Tumhee Haakim-e-Baraya Tumhee Qasim-e-A’taya
Tumhee Dafa’e Balaya Tumhe Shafa’e Khataya
Tujhe Hamd Hai Khudaya Tujhe Hamd Hai Khudaya
Woh Kunwaari Pak Maryam Woh Nafakhtu Feeh Ka Dum
Hai Ajab Nishaan-e-Azam Magar Aamna Ka Jaya
Tujhe Hamd Hai Khudaya Tujhe Hamd Hai Khudaya
Yehi Bolay Sidra Walay Chaman-e-Jahaan Ke Thaalay
Sabhi Mein Chaan Daalay Tere Paaye Ka Na Paya
Tujhe Hamd Hai Khudaya Tujhe Hamd Hai Khudaya
Arey Aey Khuda Ke Bandon Koi Mere Dil Ko Dhoondo
Mere Pass Tha Abhi tou Abhi Kia Hua Khudaya
Tujhe Hamd Hai Khudaya Tujhe Hamd Hai Khudaya
Humein Aey Raza Tere Dil Ka Pata Chala Ba Mushkil
Dar-e-Rauza Ke Muqabil Woh Humein Nazr Tou Aaya
Ye Na Pooch Kaisa Paaya Ye Na Pooch Kaisa Paya
Tujhe Hamd Hai Khudaya Tujhe Hamd Hai Khudaya
Subha Taiba mein huwi bat-taa he baara noor ka
Sadqa lene noor ka aaya he taara noor ka
Baagh-e Taiba mein suhaana phool phoola noor ka
Mast bu hai bulbule parti he kalima noor ka
Baarahween ke chaand ka mujraa he sajdah noor ka
Baarah burjon se jhukaa ik ik sitaara noor ka
Aayi bid'at chaayi zulmat rang badlaa noor ka
Maahe sunnat mahr-e tal'at le le badla noor ka
Tere hi maathe rahaa ay jaan sahraa noor ka
Bakht jaaga noor ka chamkaa sitaara noor ka
Mein ghada tu baadshah bhar de piyaala noor ka
Noor din duna tera dedaal sadqa noor ka
Taaj waale dekh kar tera imaama noor ka
Sar jhuka te hain ilaahi bol bala noor ka
Shamma dil mishkaat tan seena zujajah noor ka
Teri surat ke liye aya hai surah noor ka!
Teri nasl-e paak mein he bacha bacha noor ka
Tu he ayn-e-noor tera sab gharaana noor ka!
Chaand jhuk jaata jidhar ungli uthaate mahd mein
Kyaa hi chaltaa thaa ishaaron par khilawna noor ka
Ay Raza ye Ahmed e Noori ka faiz e noor hai
Ho gayi meri ghazal bar kar qasida noor ka!
Dushman-e Ahmad pe shiddat kijiye
Mulhidon ki kya murrawat kijiye
Zikr unka chheriye har baat me
Chherna Shaytaan ka aadat kijiye
Misl-e Faras zalzalay hoon Najd mein
Zikr-e Aayaat-e Wilaadat kijiye
Ghaiz mein jal jaa-ein be Deeno ke dil
Yaa Rasool Allah ki Kasrat kijiye
Kijiye charcha unhee ka subh-o shaam
Jaan-e Kaafir par Qayamat kijiye
Shirk thehre jis mein tazeem-e Habeeb
Us bureh mazhab pe laanat kijiye
Zaalimo! Mahboob ka haqq tha yehi
Ishq ke badle adaawat kijiye
Ghaus-e-Azam aap se faryaad hai
Zinda phir ye paak Millat kijiye
Mere Aaqa Hazrate Achche Mia
Ho Raza Accha wo Soorat kijiye