Jahaan Baani Ataa Kar De Bhari Jannat Hibah Kar De
Nabi Mukhtaar-e-Kul Hai Jis Ko Jo Chaahe Ataa Kar De
Jahaan Mai UNKI Chalti Hai Woh Dum Mai Kya Se Kya Kar De
Zamee Ko Aasmaa Kar De Suraiyya Ko Saraa Kar De
Fizaa Mai Urne Waale Yoo Nah Itraaye Nidaa Kar De
Woh Jab Chaahe Jise Chaahe Oose Farmaa Rawaa Kar De
Meri Mushkil Ko Yoo Aasaan Mere Mushkil Kushaa Kar De
Har Ik Mauje Balaa Ko Mere Maula Naa Khuda Kar De
Ataa Ho Bekhudi Mujh Ko Khudi Meri Hawaa Kar De
Mujhe Yoo Apni Ulfat Mai Mere Maula Fanaa Kar De
Jahaan Mai Aam Paighaam-e-Shahe Ahmad Raza Kar De
Palat Kar Peechhe Dekhe Phir Se Tajdeed-e-Wafaa Kar De
Nabi Se Jo Ho Begaanaa Oose Dil Se Judaa Kar De
Pidar Maadar Biraadar Maal-o-Jaa Oon Par Fidaa Kar De
Munawwar Meri Aankhon Ko Mere Shamsud Duhaa Kar De
Ghamon Ki Dhoop Mai Woh Saaya-e-Zulfe Dotaa Kar De
Kisi Ko Woh Hasaate Hai Kisi Ko Woh Rulaate Hai
Woh Yoo Hi Aazmaate Hai Woh Ab Tau Faislah Kar De
Gule Taybah Mai Mil Jaaoo Gulo Mai Mil Ke Khil Jaaoo
Hayaate Jaawidaani Se Mujhe Yoo Aashnaa Kar De
Oonhe Manzoor Hai Jab Tak Yeh Daur-e-Aazmaaish Hai
Nah Chaahe Tau Abhi Woh Khatm Daur-e-Ibtilaa Kar De
Sage Aawaara-e-Sehraa Se Uktaa Si Gayi Duniya
Bachaao Ab Zamaane Ka Sagaan-e-Mustafa Kar De
Mujhe Kya Fikr Ho Akhter Mere Yaawar Hai Woh Yaawar
Balaao Ko Jo Meri Khud Giraftaar-e-Balaa Kar De
0 comments:
Post a Comment