HUZOOR SADRUL ULAMA MAZHR-E-MUFTI-E-AZAM-E-ALAM TAHSEEN RAZA KHAN RADI ALLAHU ANHU


HUZOOR SADRUL ULAMMA MAZHAR-E-MUFTI-E-AZAM, ALAMMA MOULANA MUFTI TAHSEEN RAZA KHAN RADI ALLAHU ANHU

Blessed Birth:

Huzoor Sadrul ulamma, Mazhar e Mufti e Azam, Hazrat Alamma Moulana Tahseen Raza khan RadiaAllahu anhu Born on Friday 14th Shaban, 1348 hijri.

His Blessed Family:

Huzoor Sadrul ulamma is the son of Hakim ul Islam Hazrat Alamma Moulana Mufti Hasnain Raza khan RadiaAllahu anhu and younger brother of Huzoor Ameen e Shariat Hazrat Sibtain Raza khan Maddazillahul Noorani and Grand son of Shahenshah e Sukhan Ustad e Zaman Hazrat Alamma Moulana Hasan Raza khan RadiaAllahu anhu, younger brother of Aala Hazrat Imam Ahmed Raza khan RadiaAllahu anhu, great grand son of Hazrat Raisul Atqiya Alamma Moulana Naqi Ali KHan RadiaAllahu anhu.

Education:

HUZOOR SADRUL ULAMA STARTED HIS EUDCATION FROM MADARSA IN MIRZAI MASJID FOR FURTHER ARABIC & PERSION EDUCATION HE JOINED MADARSA MAZHAR-E-ISLAM.

AFTER PARTITON OF INDIA & PAKISTAN HIS BLESSED TEACHER MAULANA SARDAR AHMAD RADIAALLAHU ANHU TRANSFER HIMSELF TO FAISLABAD PAKISTAN AND FOUNDED MADARSA MAZHR-E-ISLAM OVER THERE SADRUL ULAMA SHOW HIS KEEN INTREST AND WITH THE PERMISSION OF HIS FATHER HE WENT TO PAKISTAN FOR COMPLETING HIS EDUCATION.

HIS BLESSED TEACHERS

SADRUSH SHARIYA HAZRAT MAULANA AMJAD ALI RADI ALLAHU ANHU
MUFTI-E-AZAM-E-ALAM RADI ALLAHU ANHU
MUFTI SHAMSUD DEEN RAZVI
HAZRAT MAULANA WAQARUD DEEN QADRI RAZVI
IMAMUN NAHV ALLAMA GHULAM JILANI RADI ALLAHU ANHU
MUHADDIS-E-AZAM PAKISTAN MAULANA SARDAR AHMAD RADI ALLAHU ANHU
HAZRAT MAULANA GHULAM YASEENSAHAB

AWARD OF KHILAFAT:-HUZOOR SADRUL ULAMA AWARDED OF KHILAFAT BY MUFTI-E-AZAM-E-ALAM RADI ALLAHU ANHU ON THE OCASSION OF URSE RAZVI IN 1380 HIJRI AND MUFTI-E-AZAM WHEN GAVE KHILAFAT HE WROTE”QURRATO AINI WA DURRATO ZAINI TEHSEEN RAZA KHAN” WHICH MEANS “THE PEACE OF MY EYES AND PEARL OF MY GRACE IS TEHSEEN RAZA KHAN” ON THE CERIFICATE.

TEACHING:-

HUZOOR SADRUL ULAMA TAUGHT 18YEARS IN JAMIA MAZHAR-E-ISLAM, THEN TAUGHT 7 YEAR IN JAMIA RAZVIA MANZAR-E-ISLAM,THEN TAUGHT 23 YEARS IN JAMIA NOORIYA RAZVIA ,AND TAUGHT 2.5YEARS IN CENTER OF ISLAMIC STUDIES JAMIATUR RAZA

HIS FAMOUS STUDENTS:-

HUZOOR TAJUSSHARIYA ALLAMA AKHTAR RAZA KHAN DAMATUM BARKATU ALIA
MAULANA ASJAD RAZA KHAN.
MAULANA MANNAN RAZA KHAN.
MAULANA HANEEF AHMAD KHAN.
MAULANA MUFTI SUWALEH SAHAB.
MAULANA MOHD HASHIM NAEEMI.
MAULANA MUFTI MUJEEB ASHRAF SAHAB.
MAULANA TATHEER AHMAD SAHAB .
MAULANA SAGHEER AHMAD SAHAB.
MAULANA ANWAR ALI SAHAB.
MAULANA ABDUS SALAM SAHAB.
MAULANA MUFTIMUTIUR REHMAN.
MAULANA ASJAD RAZA KHAN.

HIS JOURNEY TO HARAMAIN SHARIFAIN:-

MERI HAR AARZOO KA MAHASAL “TEHSEEN” BAS YE HAI
KISI SOORAT PAHUNCH JAOON MEN DARBAR-E-PAYAMBAR SALALLAHU ALAIHIWASALAM MEN
HUZOOR SADRUL ULAMA PERFORMED HAJ IN 1986

HIS MARIAGE:-

HUZOOR SADRUL ULAMA MARRIED
DAUGHTER OF SAEED ULLAH KHAN HAD THREE SONS

1. MAULANA HASSAN RAZA KHAN
2. MAULANA RIZWAN RAZA KHAN
3. MOHAMMED SOHAIB RAZA KHAN
AND ONE DAUGHTER

CHARACTER & HABITS:-

HUZOOR SADRUL ULAMA WAS A MAN OF GREAT KNOWLEDGE,WISDOM AND PIETY BUT HE LIVED A HUMBLE AND SIMPLE LIFE.
HE WAS BLESSED WITH ONE OTHER VERY GREAT QUALITY.THAT BEING HIS RESEMBLANCE IN LOOKS TO TAJDAR-E-AHL-E-SUNNAT HUZOOR MUFTI-E-AZAM-E-ALAM RADIALLAHU ANHU .

LOVE FOR NAAT SHAREEF:-

SADRUL ULAMA HAD NEVER EXPOSE HIMSELF BECAUSE OF HIS LOVE TOWARDS SIMPLICITY AND DUE TO MOST OF PEOPLE CANNOT UNDERSTAND HOW GREAT AALIM HE WAS.
HE WRITES MANY NAATS AND MANQABATS BUT HIS FAMOUS NAAT GIVEN BELOW.

JIS KO KEHTE HAI QAYAMAT HASHR JISKA NAAM HAI
DAR HAQIQAT TERE DEEWANON KA JASHN-E-AAM HAI
AZMAT-E-FARQE SHAHE KAUNAIN KIYA JANE KOI
JISNE CHOOME PAE AQDAS ARSH USKA NAAM HAI
AARAHE HAI WO SARE MAHSHAR SHAFA’AT KE LIYE
AB MUJHE MALLOM HAI JO KUCH MERA ANJAM HAI
RUE ANWAR KA TASAVVUR ZULFE MUSHKIN KA KHAYAL HAI
KAISI PAKEEZA SAHAR HAI KIYA MUBARAK SHAM HAI
SAQIE KAUSAR KA NAM-E-PAK HAI VIRDE ZABAN
KAUN KEHTA HAI KE “TAHSEEN”AAJ TISHNA KAM HAI

IMAAM-UL-AMBIYA TUM HO RASOOL-E-MUJTABA TUM HO,
JO SAB KAY PASHWA HAIN UNKAY AAQA PASHWA TUM HO.

HAQIQAT AAP KI SAMJHAI TO KYA SAMJHAI KHIRAD WALAY,
KHUDA WALAI YEH KEHTAY HAI KHUDA JANAI KAY KYA TUM HO.

TUMHARI WAQAE TAUSEEF HUM SAI GAIR MUMKIN HAI,
KAY HUM JO KUCH KAHAIN USSAI HAQEEQAT MAIN SIWA TUM HO.

KHUDA DETA HAI TUM TAQSEEM KARTAY HO ZAMANAY KO,
MIYAN-E-KHALIQ-O-MAKHLOOQ MOHKAM VASTA TUM HO.

MUJHAI PARWAH NAHI MOJAIN UTHAIN TUFAAN AA JAIN,
SHAKISTA HAI AGAR KASHTI TO GAM KYA NA KHUDA TUM HO.

VOH KAABA HAI JAHAN SAR JUKH RAHAI HAIN AHLAI AALAM KAY,
MAGAR KABA BHI JISKAY SAMNAI KHUM HO GAYA TUM HO.

DIL-E-TEHSEEN SAI GUM KI GHATAIN CHAT GAEE AQAA
SUNA HAI JUB SAI USNAI SHAFAE ROZAI JAZA TUM HO.



VOH YUN TASHREEF LAI HUM GUNAH GARON KAY JHURMUTH MAIN
MASIHA JAISAI AA JATA HAI BIMAARON KAY JHURMUTH MAIN.

MADAD FARMAEYA AAQA PARESHAAN HAAL UMAT KI,
KAY SHORAH AL MADAD BARPA HAI BAICHARON KAY JHURMUTH MAIN.

LARAZ JAATI HAI HAR MOJAI BALA SAI AAJ VOH KASHTI ,
RAHA KARTI THEE JO KHANDA KABHI DHARON KAY JHURMUTH MAIN.

HUSAIN IBNAI ALI KI AAJ BHI HUMKO ZAROORAT HAI,
GHIRA HAI AAJ BHI ISLAM KHUKHAARON KAY JHURMUTH MAIN.

NABI KAA AKS-E-RUKH JALWA FIGAN HAI WARNA-E-TEHSEEN
CHAMAK AESI KAHAN SAI AA GAE TARON KAY JHURMUTH MAIN.

WAJH HAI TAQHLEEQAI DO AALAM AALA MARA HO GAYA
AAJ DUNIYA KO GAMAI DUNIYA GAWARAH HO GAYA.

DUBNAI WALAI NAI UNKA NAAM-E-NAAMI JAB LIYA
MAUJ SAHIL BAN GAE TUFAA KINARA HO GAYA

ALLAH ALLAH NASHAE SAHWAAE ULFAT KA SARWAR
DIL KI ANKHAIN KHUL GAIE UNKA NAZARA HO GAYA

MARHABA AE VUSATAI ZAILAI KHATA POSHAI NABI
AASEYON KO MUH CHUPANAI KA SAHARA MIL GAYA

SHAUKH SAI MUJH KO FARISHTAI LAY CHALAIN SUE JAHEEM
MAIN NA BOLUNGA AGAR UNKO GAWARA HO GAYA

BUS ABHI HOTAI HAIN TAE YEH NEK-O-BADD KAY MARHALAE
AAP YEH FARMA TOO DAIN TEHSEEN HAMARA HO GAYA.

JO HAR SHAIE KI HAQEEQAT HAI JO PINHA HAI HAQEEQAT MAIN
USSI KAY HUSN KA JALWA HAI ISS SHAMAE RISALAT MAIN

MERAI DIL MAIN MOHABBAT HAI MERA DIL HAI IBADAT MAIN
TASAWWUR MAIN MADENA HAI MAIN HUN HAR WAQT JANNAT MAIN

NABI KAY EK ISHARAE SAI QAMAR KYUN KAR NA HO TUKRAE
KAY FITRAT KAAR FARMA HAI HIJABAATAI NABOOWAT MAIN

MAE KEHDUNGA QAYAMAT MAIN KAY ROZAE IMTAHAN HAI WOH
MERA IMAAN MOHABAT HAI MUJHAI JANCHO MOHABBAT MAIN

TERA DIL TOO HAI JANNAT MAIN MERAI DIL MAIN HAI VOH JANNAT
YEHI TOO FARQ HAI ZAHID IBADAT MAIN MOHABBAT MAIN

VOH MUSLIM JISKO TUNAI KHASS REHMAT SAI NAWAZA THA
VOH AB BEHAD PARESHAN HAI VOHI HAI AB MUSEEBAT MAIN

PAYAMBAR KI HAQEEQAT KO KOI TEHSEEN KYA SAMJHAI
JO MAQTA HAI TAKHAYUL KA VOH MATLA HAI HAQEEQAT MAIN.

RASOOLON MAIN BAIEN SURAT IMAAM-UL-MURSALEEN AAYE
KAY JAISAI BAZMAIN ANJUM MAIN KOI MAHAE MUBIN AAE

KHABAR KYA HUM KO ZAHID RASTAI MAIN TUJH PAI KYA GUZRI
MADEENAI SAI JO HUM NIKLAY TOO FIRDAUSAI BAREEN AAE

TERI ZAAT-E-MUBARAK WAJHAI TAKHLEEQAI DO ALAM HAI
BA ALFAZAI DIGAR TERAI LIYE DUNIYA-O-DEEN AAE

SARAE MAHSHAR NIGAHE MUNTAZIR TU JIN KI JOYA HAI
ABHI AAYE ABHI AAYE YEHIN AYE YEHIN AAYE

JO MAJNU BAN KAY KHO JAI KHAYALAI DASTAY TAIBA MAIN
USAI AGOSH MAIN LENAI NA KYUN KHULDAI BAREEN AAYE

ZAMANA MUBTILA THA WAHAM KI POOJA MAIN SAR TAAPA
TERAI QADMON KI BARKAT HAI KAY AADABAI YAQEEN AAYE

AGAR ZOQAE AMAL KO AAJ AMEERAI KARWAAN KAR LAIN
BADAL KAR PHIR WAHI PAHLE SE TAQDEERAI JAHAN KAR LAIN

VOH SUNTAI HAIN ZAMANA SAR GUZISHTA GUM SUNATA HAI
ZARA MAUQA JO MIL JAE TOO KUCH HUM BHI BAYAN KAR LAIN

IDHAR AAO BOHAT MUMKIN NISHAN-E-RAH MIL JAE
YEH HAIN NAQSHAI QADAM BARH KAR TALASH-E-KARAWAN KAR LAIN

LIPAT KAR UNKAY DAMAN SAI MACHAL KAR UNKAI QADMON PAR
HUM APNI PASTIYON KO PHIR HAREEFAI ASMAAN KAR LAIN

DAYARAI PAK KAY KANTON SAI KAR KAE DOSTI HUM DUM
RIYAZAE KHULD KAY PHOOLON KO APNA RAAZ DAN KAR LAIN

NAZAR MAIN JAZB HAI RANGEENIYAN GULZARAI TAIBA KI
JAHAN CHAHAIN WAHAN PAIDA NAYA BAGAI JINA KAR LAIN

DAFURAI SHOKH MAIN MIL KAR JEBEEN KO AASTANAI SAI
NISHANAI SAJDAI TAUHEED KO JANNAT NISHAN KAR LAIN

YAHEEN SAI RAHMATON KA SATH HO JAI AGAR TEHSEEN
KISI KAY ZIKR KO HARFAI AKHEERAI DASTAN KAR LAIN

ARMAAN NIKALTAI HAIN DIL KAY AAQA KI ZIYARAT HOTI HAI
KOON IS KO QAYAMAT KEHTA HAI AESI BHI QAYAMAT HOTI HAI

TAIBA KA TASSAWUR KYA KAHIYE EK KAIF KI HALAT HOTI HAI
JIS SAMT NIGAHAIN UTHTI HAIN BUS SAMNAI JANNAT HOTI HAI

AHSAAS-E-FAZUN JAB HOTA HAI ISS BAAB-E-KARAM SAI DOORI KA
VOH QALB HI JANAI BACHARA JO QALB KI HALAT HOTI HAI

HAI UNKI RAZA PAR HAQ KI RAZA AUR UNKA KIYA HAI HAQ KA KIYA
JO UNKA ERAADAH HOTA HAI VOH HAQ KI MASHIYAT HOTI HAI

ISS BAESAI KHALQAI AALAM KA JUB NAM LABON PAR AATA HAI
REHAT SAI BADALKAR REHTI HAI JO KOI MUSEEBAT HOTI HAI

TAIBA KI BAHARAI DIL KASH KA JUB TAZKIRA KOI KARTA HAI
USS WAQT MAREEZAI ULFAT KI KUCH AUR HE HALAT HOTI HAI

MUKHTAR-E-JAHAN HAIN VOH TEHSEEN JO MAANGO VOH UNSAI MILTA HAI
TAQSEEM UNHI KAY DAR SAI TOU KONAI KI DAULAT HOTI HAI.

MAE HUBAI NABI SAI JIS KA DIL SARSHAAR HO JAE
VOH DANAE HAQEEQAT WAQIFAIU ISRAAR HO JAE

ZIYARAT ROZAE SARKAR KI EK BAAR HO JAE
PHIR USKAI BAAD CHHAIN YEH NAZAR BEKAAR HO JAE

KARAM UNKA AGAR APNA SHAREEK-E-KAAR HO JAE
TALATUM KHAIZ TUFAANO SAI BERA PAAR HO JAE

AGAR BE PARDA HUSNAI SAYYADAI ABRAR HO JAI
ZAMIN SAI AASMA TAK AALAMAI ANWAR HO JAE

NAZAR AAE JISAI HUSNAI SHAHAE KAUNAIN MAE KHAMI
ILAHAL AALAMEN AESI NAZAR BEKAAR HO JAE

ATA FARMAIYE ANKHON KO MERI AASE BINAE
NAZAR JIS SAMT UTTHAI AAP KA DEDAAR HO JAI

AGAR AKS-E-RUKH SARKAR KI HO JALWA AARAE
MERAI DIL KA SIYA KHANA TAJALLI ZAAR HO JAE

SUKUN PARWAR HAIN LAMHAI ZIKRAI AAQA-E-DOAALAM KAY
KHUDAYA ZINDAGI WAQFAI GUM-E-SARKAR HO JAE

TUMHARA NAM LEWA HAI GADAE BAI NAWA TEHSEEN
KARAM KI EK NAZAR USPAR BHI AAE SARKAR HO JAI.

RUKTA NAHI HARGIZ VOH IDHAR BAGAE IRAM SAI
WABASTA JO HOO AAP KAY DAMANAI KARAM SAI

LILLAH KARAM KIJIYE SARKAAR-E-MADINA
DIL DOOB RAHA HAI MERA FURKHAT KAY ALAM SAI

AALAMAI ZAMANA KA BHALA ISS MAIN GUZAR GAYA
AABAD HAE JO DIL SHAHAE KHUBAN KAY ALAM SAI

LAB PAR HO DUROOD AUR HON GUMBAD PAI NIGAHAIN
AESAI MAIN BULAWA MERA AAJAI ADAM SAI

MANZOOR NAHI HAI KAY VOH PAMALEJIBIN HO
YUN SAJDA KARAYA NA DARAI PAK PAI HUM SAI

DEEDAR KI UMEED NA HOTI JO SARE HASHR
BEDAAR NA HOTAY KABHI HUM KHWAB-E-ADAM SAI

BAITHE HAIN YAHAN CHORH KAY NAERANGIYE AALAM
HUM KO NA UTHA HASHR DAR SHAHEUMAM SAE

DEKHO MERI ANKHON SAI DARAE SHAHE UMAM KO
AATE HAI SADA YEH DARO DEEWARAI HARAM SAI

YA RUB DILAE TEHSEEN KI BHI BAR AAE TAMMANNA
AAJAI BULAWA DARAI SARKARE KARAM SAI.

TARB ANGAIZ HAI RAHAT FAZA HAI KAIF SAAMA HAI
YEH KOI GULISTAAN HAI YAA MADINAI KA BIYABAN HAI

MERI JANIB NIGAHAE LUTF SARDAAR-E-RASOOLAN HAI
MUQADDAR PAR MAIN NAZA HUN MUQADDAR MUJH PAI NAZA HAE

YEH MANA BAGH-E-RIZWAN RUH PARWAR KAIF SAMAN HAI
MADINAI KA GULISTAN PHIR MADINAI KA GULISTAN HAI

MUJHAI DUNIYA MAIN NA KOI GAM NA UKBA MAIN PARESHANI
YAHAN BHI UNKA DAMA HAI WAHAN BHI UNKA DAMA HAI

NABI KI YAAD HAI KAFI SAHARA DONO AALAM MAE
YAHAN WAJHAI SUKOON-E-DIL WAHAN BAQSHISH KA SAMAN HAE

MUJHAI PARWAH NAHI MOJAIN UTHAIN TUFAAN AA JAE
NIGEBANE DO AALAM MERI KASHTI KA NIGEBAN HAI

NABIYON MAIN KUCH AESI SHAAN HAI SARKAR-E-WAALA KI
KE AGLAY AMBIYA KO UMMMATI BANNAI KA ARMA HAI

JO UNKAE HAIN HUNHAIN NAR-E-JAHANUM CHU NAHI SAKTI
KHUDA KAY KHAAS BANDON PAR KHUDA KA KHAAS AHSAN HAI

NAHI FAILAE ABAS SARKAAR-E-TAIBA KI SANA KHAWANI
JO WOH TEHSEEN FARMA DAIN TOU YEH BAQSHISH KA SAMA HAI


MANQABAT DAR SHAAN IMAM-E-AALI MAQAM.


KHANDA PESHANI SAI HAR SADMA UTHATAY HAIN HUSSAIN
ISHQ KAY AADAB DUNIYA KO SIKHATAI HAIN HUSSAIN

JUB GUZARTI HAI KISI DUSHWAR MANZIL SAI HAYAT
DAFATAN HAR MUBTELA KO YAAD ATAY HAIN HUSSAIN

MOHSINAI INSANIYAT HAI NOE NIHAL-E-MUSTAFA
ZULM KI ZULMAT KO DUNIYA SAI MITATAI HAIN HUSSAIN

KHAK MAIN MIL JAE GA EK AAN MAIN TERA GUROOR
AE GIROH HAI ASQIYAH TASHREEF LATAY HAIN HUSSAIN

KYUN NA HOGI HUM GUNAH GARON KI BAKSHISH HASHR MAIN
SAR HATAELI PAR LIYAE TASHREEF LATAY HAIN HUSSAIN

MAUJ-E-KAUSAR JIS PAI QURBAN USS MUQADAS KHOON SAI
DASTANAI ISHQ KO RANGEE BANATAY HAIN HUSSAIN..

VISAL:-HE left this wordly world IN A ROAD ACCIDENT CHANDRAPUR & NAGPUR ON 18,RAJABUL MUJARRAB 1428th HIJRI i.e 3rd AUGUST 2007{ (INNA LILLAHE INNA ILAIHAY RAAJEOON).

JANAZA SALAH:-

THE JANAZA SALAH OF SADRUL ULAMA WAS PERFORMED BY TAJUSH SHRIYA ALLAMA AKHTAR RAZA KHAN QADRI AT ISLAMIA INTER COLLEGE GROUND IN BARELY SHAREEF ABOUT 4-5 LAKH PEOPLE ATTENDED HIS JANAZA SALAH.


MAZAR SHAREEF:-

HUZOOR SADRUL ULAMA MAZAR SHAREEF IS SITUTED IN MOHALLA KANKAR TOLA OLD CITY BARELY SHAREEF.
EVERY YEAR IN 17, 18 RAJABUL MURAJJAB HIS URSE MUBARAK IS ORGANIZED.


Hazrat Sadr-ul-Ulama Mufti Tehseen Raza Khan (ra)

By: Mudasir Yaseen


Hazrat Sadr-ul-Ulama Mufti Tehseen Raza Khan (ra) 1930 A.D (Sarkaar Mujadid-e-A’azam Shah Imam Ahmed Raza Khan (ra) ki wafaat ke taqreeban 9 baras ba’ad) men “Bareli Shareef” paida huye. Aap Hazrat Molana Hasnain Raza Khan (ra) ke manjhile sahibzade, Huzoor Ameen e Shariat Hazrat Sibtain Raza khan Maddazillahul Noorani ke chote bhai, Ustaad-e-Zaman Hazrat Molana Hassan Raza Khan RadiaAllahu anhu ky pote , Aur Raees-u-Mutaklimeen Hazrat Allama Mufti Naqi Ali Khan Sahib(ra) ky par-poty hain. Is tarah teesiri pushit men jaa kar aap ka silsila-e-nasb Sarkaar Mujadid-e-A’azam Shah Imam Ahmed Raza Khan (ra) se jaa kar milta hay.


Hadrat Sadr-ul-Ulama (ra) aik intiha’ee khamosh, pur waqar, aur ba ru’ub shakh’siyat ke maalik thy. Aap ky zer-e-lab muskhurahat daa’imi thee, goya ke lab haye mubarika se phool jhar rahy hon. Aap ki issi wasf-e-khaas ki taraf ishara farmaaty huye Sarkar Mufti-e-A’azam-e-Hind (ra) farmaaty hain ke
“Tehseen miyaan gul sar sabd”


ya’ane “Tehseen miyaan phoulon ki tokri men sab se ziyadah khushnima-o-tar-o-taza phool hain.” Hadrat Sadr-ul-Ulama, Sarkar Mufti-e-A’azam-e-Hind ke talamiza aur Khulafa men is wasf-e-Khaas se mutasi thy. Aur kiyoun na hon ke aap taqreeban 50 baras tak Hadees-e-Pak ka dars dete rahy, aur Rasool-e-Ka’inaat, Mehboob-e-Rabil Aalameen ne irshaad farmaya ke “Allah us shakhs ko tar-o-taza rakhy, jo hamari hadees suny aur usy doosiron tak puhinchaye.”


Hadrat Sadr-ul-Ulama ne ibtada ta ma qabl dora-e-hadith, husool-e-ilm ke tamaam marahil “Bareli Shareef” men Sarkar Mufti-e-A’azam-e-Hind ke saaya-e-Aatifat men rahty huy tay kiya. Is ke ba’ad Hadith paak ka dars leny ke liye Fakhr-e-Zaman, Badr-e-Tamam, Muhadith-e-A’azam-e-Pakistan Hadrat Allama Molana Muhammed Sardar Ahmed Sahab (ra) ki barigaah men Sardar Abad (Faisal Abad, us waqt faisalabad ka naam La’il Pur thaa.) haazir huye, Chonke Hadrat Muhadith-e-A’azam-e-Pakistan ko Sarkaar Mujadid-e-A’azam Shah Imam Ahmed Raza Khan (ra) ke khaandan se aik khaas ta’aluq raha hay (Insha Allah kabhi Hadrat Muhadith-e-A’azam-e-Pakistan Molana Sardar Ahmed ki zindagi ke haalat-o-Manaaqib bhee yahaan par post karoon ga.) Is liye doraan-e-tadrees Hadrat Sadr-ul-Ulama Mufti Tehseen Raza Khan Muhadith -e-A’azam-e-Pakistan Sardar Ahmed Sahib ki khaas nazron se mutimat’a huye. Aur jab Hadrat Sadr-ul-Ulama dara-e-Hadith shareef ki takmeel ke ba’ad “Bareli Shareef” lotine lagy to Hadrat Muhadith-e-A’azam-e-Pakistan Molana Sardar Ahmed ne Sarkar Mufti-e-A’azam-e-Hind ke liye aik maktoob rawana kiya, jis men farmaya “Mein Hadrat Sadr-ul-Ulama Sahibzada Tehseen Miyan ko Hadith ki taraf ziyada mutawajh patta hoon, is liye unihen tadreesi fara’iz ki anjaam dihee ke liye Hadith-e-Paak ke asbaaq diye jaayen.” Lihaza aisaa hee huwa, Aur 1957 A.D se aap wisaal mubarak ya’ane 2007 A.D tak musalisal 50 baras tak Hadrat Sadr-ul-Ulama tishnigaan-e-Ilm ki piyaas bujhaaty rahy, jis men khususi tawajuh hameshah dars-e-hadith ki taraf hee rahee.



Dora-e-Hadith se faraghat ke ba’ad sab se pahily Sarkar Mufti-e-A’azam-e-Hind ne Dar-ul-Uloom Mazhar-ul-Islam (Ye Dar-ul-Uloom Sarkar Mufti-e-A’azam-e-Hind ne banwaya tha. Sarkaar Mujadid-e-A’azam Shah Imam Ahmed Raza Khan ke bhai Ustad e Zaman Hazrat Hasan Raza khan RadiaAllahu anhu banaye huye Dar-ul-Uloom ka naam “Manzar-e-Islam” hay.), Masjid Bibi Shareef men Hadrat Sadr-ul-Ulama ko kutb-e-Hadith ki tadrees zimma laga’ee, jahaan aap 18 baras tak tadreesi fara’iz anjaam dety rahy, aur Sadr-ul-Mudariseen par fa’iz rahy. Is ke ba’ad 7 baras tak Dar-ul-Uloom Manzar-e-Islaam men Sadr-ul-Mudariseen ke mansab par faa’iz huye, aur dars-e-hadith se taaliban-e-ilm ko faizyaab karty rahy. Is ke ba’ad 23 baras Jami’aa Razaviya Nooriya Bareli Shareef men bahesiyat Sadr-ul-Mudariseen rahy, aur waheen dars-Hadith Pak jaari rakha. Is ke ba’ad TajuShari’at Hadrat Allama Mufti Akhtar Raza Khan damat barkatuhumul Aaliya ke israar par Jaami’at-ur-Raza Bareli Shareef (TajuShari’at Hadrat Allama Mufti Akhtar Raza Khan damat barkatuhumul Aaliya ka qa’im karda madarisa) men Sadr-ul-Mudariseen ka mansab sanbhala, aur dars-Hadith Pak ke saath saath takh’sus fill fiqah wal ifta ke talabaa ko deegar kutub ke dars se faizyaab farmaaya. Issi tarah kul 50 baras tak musalisal dars-Hadith Pak dety huye 2007 men 77 baras ki umr men is daar-e-faani se kooch farmaya.



Qibla Hadrat Sadr-ul-Ulama ke waalid-e-giraami Hadrat Molana Hasnain Raza Khan RadiaAllahu anhu wo giraami-e-qadr shakhsiyat hain ke jab Sarkaar Mujadid-e-A’azam Shah Imam Ahmed Raza Khan ne apne wasaya shareef amla’a karwana chaha to is ki tehreer ke liye aap hee ka intikhaab kiya. Aap (Hadrat Molana Hasnain Raza Khan) ka laqab “Saahib” mash’hoor thaa. Aap he eke chhoty saahibzaade Hadrat Molana Habib Raza Khaan Sahab Damat Barkatuhumul Aaliya (Hadrat Sadr-ul-Ulama ke chhoty bhai) farmaaty hain ke aik martaba Sarkar Mufti-e-A’azam-e-Hind ne irshaad farmaaya ke “Saahib ke sabhi bachy khoob hain, ba salahiyat hai.


Sarkar Mufti-e-A’azam-e-Hind ka Hadrat Sadr-ul-Ulama se muhabat-o-ulfat ka andaza in mubarak kalimaat se lagaya jaa sakita hay jo Sarkar Mufti-e-A’azam-e-Hind ne Aap (Hadrat Sadr-ul-Ulama) ke liye apni ijaazat-o-khilafat nama men irshaad farmaaye hain, Farmaaty hain ke “Qurat-e-Aini wa Zurat-e-Zaini Molvi Tahseen Raza Khan” Subhan Allah.



Hadrat Qibla Muhadith-e-A’azam-e-Pakistan Molana Sardar Ahmed aur Khaandan-e-Razaviya ka baaham ta’aluq ulfat-o-muhabbat kissi se makhfi nahin. Jab Hadrat Qibla Muhadith-e-A’azam-e-Pakistan ne intiqaal farmaya to us moqiye par Sarkar Mufti-e-A’azam-e-Hind ne aap ki shaan men aik manzoom manqabat paish farmayee. Choonke Qibla Hadrat Sadr-ul-Ulama Hadrat Muhadith-e-A’azam-e-Pakistan ke shaagird-e-khaad thy, lihaza Hadrat Qibla Muhadith-e-A’azam-e-Pakistan ke wisaal-e-pur malal par aap (Hadrat Sadr-ul-Ulama) ko intiha’ee ranj-o-gham men mubtala dekh kar Sarkar Mufti-e-A’azam-e-Hind ne issi manqabat men ye shair bhee tehreer farmaya:




Piyare Tehseen-ur-Raza se poochh lo !
Shugul Tehseen-ur-Raza ka jata raha !


Is se ma’aloom hotta hay ke Sarkar Mufti-e-A’azam-e-Hind Qibla Sadr-ul-Ulama se kitni muhabbat kiyaa karty thy.



Qibla Sadr-ul-Ulama Hadrat Mufti Tehseen Raza Khan TajuShari’at Hadrat Allama Mufti Akhtar Raza Khan damat barkatuhumul Aaliya ke brother-e-nisbati bhee hain. Issi liye Qibla TajuShari’at ke sahibzade Qibla Asjad Raza Khan Miyan wagherah Qibla Sadr-ul-Ulama ko “Mamoun Jaan” kah kar pukara karty thy. Huzoor TajuShari’at damat barkatuhumul Aaliya farmaaty hain ke aik moqi’ye par Sarkar Mufti-e-A’azam-e-Hind ne farmaya ke “Khaandan men do afrad aisy hain ke jin par mujhy poora a’itimaad aur bharwasa hay. Aik Azhari Miyan aur doosiry Tehseen Miyan.”



Qibla Hadrat Allama Mufti Akhtar Raza Khan damat barkatuhumul Aaliya billa shubah apny zamany kea hl-e-shari’at ke saron ke taaj hain, issi liye aap ko “TajuShari’at” kaha jaata hay. Is ke bawajoud ye aap ka bara pan hay, aue apny mu’aasireen-e-Ahl-e-Haq ke saath aap ka khulous-o-muhabbat hay ke aik baar Muhammed Aslam Raza aap ki khidmat men haazir tha, aur aap takh’sus fil fiqah wal ifta ke taalib ko “kitaab-ul-farooq” se dars de rahy thy. Asnaa-e-Dars aik ibaarat aisee guzri, jisy huzoor TajuShari’at baar baar sama’at farmaaty, magar baizaahir ibaarat hal farma kar musnif Alaih Rahmat ki murad ko nahin puhanch pa rahy thy. Lihaza aap ne talaba se farmaya ke is ibaarat ko Sadar Sahib (Qibla Sadr-ul-Ulama (ra) ) se samajh len, aur ibaarat ka jo hal wo paish farmaayen, us se mujh ko bhee mutali’u farmaayen.



Is ke ilaawa apny mu’aasireen ke saath ulfat, muhabbat aur apni tawazu’u ki aik a’ala missal ye bhee hay ke Qibla TajuShari’at n deegar akaabireen ke ilawah Qibla Sadr-ul-Ulama se bhee ijaazat Hadith-o-Uloom-o-Funnon Haasil ki, jis ka izhaar wo apni ijaazat-e-Hadith-o-uloom men bar mala farmaaty hain.



Hadrat Molana Jameel Ahmed Na’eemi damat barkatuhumul Aaliya ka farmaan hay ke Jab meinBareli Shareef Haazir huwa to ka’ee logon ko Hadrat Qibla Sadr-ul-Ulama ki taraf isharah karty huye “Zindah Wali” ke laqab se pukaarity huye dekha aur sunna.
Hadrat Molana Hanif Khan Razavi Barelvi (Haaliya Sadr-ul-Mudariseen Jaamia Razaviya Nooriya Bareli Shareef) farmaaty hain ke “Mojouda halaat men agar ko’ee Ahl-e-Bareli ka bila naza’a mutafiq-aliya marja’a aur mu’atmid hat to wo Qibla Sadr-ul-Ulama ki shakhsiyat hay.”



Hadrat TajuShari’at barkatuhumul Aaliya ke saahibzady “Qibla Asjad Miyan Sahib” farmaty hain ke : Aik baar Qibla waalid-e-Muhtaram ki tabiyat buhat nasaaz huyee aur kaafi din tak nasaaz hee rahee. Unihee dinon men khuwab men Sarkar Mufti-e-A’azam-e-Hind ki ziyarat se musharaf huwa. Sarkar Mufti-e-A’azam-e-Hind farma rahy thy ke: “Azhar miyan ke liye Qibla Sadr-ul-Ulama se wo khaas ta’awez kiyoun nahin lety, jo mein ne unihen sikhaya hay.” Bedaar hony ke ba’ad Qibla mamoon jaan (Qibla Sadr-ul-Ulama) ki khidmat men haazir ho sara maajira sunaya to unihon ne bila tamil Sarkar Mufti-e-A’azam-e-Hind ka ta’aleem farmaya huwa ta’aweez inaayat farmaya. Jis ke sabab Allah ne Qibla Waalid-e-Muhtaram (Hadrat Qibla TajuShari’at) ki nasaazi men ifaqa bakhisha.



Is ke ilwah Gujranwala ke Hadrat Molana Muhammed Ajmal Raza Sahaib ne Qibla Sadr-ul-Ulama ki seerat-e-tayba par aik kitaab nanaam “Sadr-ul-Ulama” tahrer farmaee hay, jisst “Raza Academy Bombay” ne Urs-e-Aala hadrat 1427 A.H ke moqiya par shaya kiya aur us ki taqreeb ronima’ee Badast Muhadith-e-Kabeer Allama Zia-ul-Mustafa hu’ee. Is kitaab men bare hee ahsan andaaz se Aap (Qibla Sadr-ul-Ulama) ki zindagi ke mukhtalif goshon ko qaari’een ke liye ujaagar kiya gaya hay.



Choonke “Har nafs ne mot ka za’iqa chkhina hay” ka wa’ada barhaq hay, chahy wo kitni hee piyare aur hamari mehboob tareen shakhsiyat kiyoun na ho. Aakhir kaar aik din issy is daar-e-fani se kooch karma hay. Issi tarah hamary aap ke mehboob aur aziz-o-jaleel-ul-qadr buzrig shakhsiyat ke maalik Hadrat Qibla Sadr-ul-Ulama Allama Mufti Tehseen Raza Khan Baro-e-jumma 18 Rajb-ul-Murajib 1428 A.H bamutabiq 3 August 2007 A.D naagpur (India) se hote huye taqreeban 150 K.M ke faasily par puhinchy thy ke Driver ki be ahtiyati ki wajah se Aap ki sawari ulat gaee, jis ke nateejy men Aap hum sab Ahl-e-Sunanaur Ahl-e-Muhabbat kodaag-e-mufariqat dety huye apni jaan Jaan-e-Aafireen ki supard kadi.



Sab se pahile aap ka Jasd-e-Aqdas “Nagpur” muntaqil kiya gayya, aur phir wahan se “Dehli” ke raast “Bareli Shareef” laya gaya. Jahan Itiwaar (Sunday) ke roz ba’ad-e-nimaaz zuhr taqreeabn 2:20 P.M par “Islamiya Inter College” ke ground men Hadrat Qibla TajuShari’at ki iqtada men Aap ki Nimaaz-e-Janaza adda ki ga’ee. Aik muhtaat andaze ke mutabiq taqreeban 7 laakh (7 lacs) afraad ne India ke mukhtalif goshon se shirkat ki.



Allah aap ko gareeq-e-Rehmat farmaaye. Aap par apni Rehmat-o-Rizwan-o-Anwaar-o-Tajliyaat ki bearish farmaaye. Aap ke darjaat bulland farmaaye. AAp ke sadqy men hum sab ki maghfirat farmaaye, Aur hum sab ko Aap ki seerat-e-Tayba se faizyaab farmaaye.
Aameen Aameen Aameen

0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More