Shahensha-e- Sukhan, Huzoor Ustad e Zaman Hazrath Moulana Allamma Hasan raza khan RadiaAllahu anhu


Mazar Shareef of Shahensha-e- Sukhan, Huzoor Ustad-e-Zaman Hazrat Moulana Hasan Raza Khan RadiaAllahu anhu the younger brother of Aala Hazrat Moulana Ash Shah Imam Ahmad Raza Khan RadiaAllahu anhu son of Raisul Atqiya Hazrat Maulana Naqi Ali Khan RadiaAllahu anhu.
Shahensha-e- Sukhan, Huzoor Ustad-e-Zaman Hazrat Moulana Hasan Raza Khan RadiaAllahu anhu the younger brother of Aala Hazrat Moulana Ash Shah Imam Ahmad Raza Khan RadiaAllahu anhu son of Raisul Atqiya Hazrat Maulana Naqi Ali Khan RadiaAllahu anhu.

Blessed Birth: Hazrat Alamma Moulana Hasan Raza khan RadiaAllahu got blessed birth on 22 Rabiul awal Shareef 1276 hijri 19 October 1859 in Mohalla Saudagaran, Bariely Shareef.

When his Grand Father Hazrat Imam ul ulamma, Arif e Billah Mohammed Raza Ali Khan RadiaAllahu anhu heard about his Birth said "Yeah Mera Beta Mast Hoga". and the saying of Hazrat was True.

Dr. Shameem Gohar Says" Ishq e Risalat Salallahu alaihiwasalam mein Dubi huwi apni Naatiya Shayari se Hazrat Hasan Raza khud bhi Mast huwe or Doosron ko bhi Mast wa bekhud karte Rahe"

Education: Hazrat Hassan Raza khan radiaAllahu anhu got his education from his father Raisul Atqiya, Hazrat Moulana Naqi Ali Khan and Imam Ahle Sunnat Aala Hazrat Imam Ahmed Raza khan RadiaAllahu anhuma.

Khilafat: Hazrat Hasan Raza khan RadiaAllahu anhu got khilafat from Qutb al-Irshaad Siraaj al-Awliya Sayyid Abul Hussain Ahmad-e-Noori al-Hussaini al-Qadiri Barakaati Marehrawi RadiaAllahu anhu.

His Famous Books: Allama Hasan Raza Khan RadiaAllahu anhu was a master of urdu poetry at that time and due to this reason he got a title of Ustad-e-Zaman.
Some of his famous Books are:
1. Zauq-e-Naat
2. Aaina-e-Qiyamat (The mirror unto the day of Reckoning)
3. Deen e Hasan dar haqiqat e Islam
4.wasail e Bakshish dar zikre Karamat e Ghous e Azam
5.Nigaristan e latafat dar zikre Milad Shareef
6. Be Mouqa faryad ka jawab dar Maslae Qurbani
7. Tazke Murtazwi darisbate tafzeel e shaikhaien.
8. Samr fasahate klaam Majaaz urdu ma qandparsi.



Ustad -e-Zaman assist elder brother AlaHazrat RadiaAllahu anhu in every field.
Aala hazratRadiaAllahu anhu was very busy in writing books so Moulana Hasan Raza RadiaAllahu anhu handle all the work of jagirdari as well as house hold.Once Ustad-e-Zaman ask Ala Hazrat that he want permission of the marriage of their daughters. Ala Hazrat replies ....Hasan Miya even yet i didn't thought of a preparation of marriage of my daughters and you are asking about the permission how it can be possible Ustad-e-Zaman replies.... Dear brother you can ask with bhabhi jaan, Aala Hazrath went and asked his blessed wife she said, even the spices are ready for preparing food.Seeing this all preparations Aala Hazrath eyes got filled and then Ala Hazrat said that hasan mia you never left any stone unturned to make me free from all the house hold works, and because of you,, I can do service of islam otherwise its next to possible for me to do this precious services for Islam.

Naats : Some of the famous Naats & Manqabats Written By Ustad e Zaman.
1. Ser-e-gulshan kaun dekhe dasht-e-Taiba chor kar
Sooe Jannat kaun jaaye dar tumhara chor kar

Sar guzasht-e-gham kahoon kise tere hote huwe
Kis ke dar pe jaauun tera Aastana chor kar

Mar hi jaaoon mein agar is dar se jaaoon do qadam
Kyaa bache bimaar-e-gham qurb-e-maseehaa chor kar

Bakhshwana mujh se aasee ka rwaa hoga kise
Kis ke daaman mein chupon daaman tumhara chor kar

Hashr mein ik ik mun jo takte phirte hain ‘udo
Aafton mein phans gaye inka sahara chor kar

Mar ke jeete hain jo unke dar pe jaate hain Hassan
Jii ke marte hain jo aate hain Madinah chor kar

2.
Dil dard se bismil ki tarha laut raha ho
Seene pe tasalli ko tera haath dharaa ho


Gar waqt-e-ajal sar teri chaukhat pe jhuka ho
Jitni ho qazaa ek hi sajde mein adaa ho

Tum zaat-e-khuda se na judaa ho na khuda ho
Allah ko maaloom hai kya jaaniye kya ho

Yeh kyun kahuun mujh ko yeh ataa ho yeh ataa ho
Woh do ke hameshaa mere ghar bhar ka bhalaa ho

Aata hai faqeeron pe unhi pyaar kuch aisa
Khud bheek dein aur khud kahe mangta ka bhalaa ho

Mangta to hai mangta koi shaahon mein dikhaade
Jisko mere Sarkaar se tukraa na mila ho

Mitti na hoo barbaad passe marde ilaahi
Jab khaak urey meri Madine ki hawaa ho

Dekha unhe mehshar mein to rahmat ne pukaaraa
Aazad hai jo aap ke daaman se bandha ho

Dhoonda hi karein sadr-e-qayaamat ke sipaahi
Woh kis ko mile jo tere daaman mein chupa ho

Shaabaash Hassan aur chamakti si ghazal parh
Dil khol kar aaina e iman ki jilaa ho

De daaliye apnay lab-e-jaan bakhsh ka sadqa
Ae chara-e-dil dard-e-hasan ki bhi dawa ho

3.
Ajab rang per hai bahaarey madeena
Ke sab jannatien hain nisaar-e-madeena

Mubarak rahe andalebon tumhein gull
Hamein gull se behtar hai qaar-e-madeena.

Bana shah nasheen khusroo e do jahaan ka
Bayaan kiya ho izz o waqaar-e-madeena

Meri qaak yarab na barbad jaaye
Bus marg kar de ghubaar-e-madeena

Ragg-e-gull ki jab nazuki dekhta hoon
Mujhe yaad aatey hain qaar-e-madeena

Malaayak lagatey hain aankhon may apni
Shab-o-roz qaak-e-mazaar-e-madeena

Jidhar dekhiye baagh-e-jannat khula hai
Nazar may hai naqsh-o-nigaar-e-madeena

Rahein unke jalwe basein unke jalwe
Mera dil baney yaadgaar-e-madeena

Haram hai usey saahat e har do aalam
Jo dil ho chuka hai shikaar-e-madeena

Do aalam may bat’ta hai sadqa yahaan ka
Hamein ek nahein rezah khwaar-e-madeena

Bana aasmaan manzil-e-ibn-e-maryam
Gaye lamakaan tajdaar-e-madeena

Muraad-e-dil bulbul benawaa de
Khudaya dikha de bahaar-e-madeena

Sharaf jinnse haasil howa ambiya ko
Wohi hain hasan iftaqaar-e-madeena

Manqabat Shaan e Sayyiduna Abu Bakr al-Siddiq (Radi Allahu Anhu)
4. Bayaan ho kis zubaan se martaba, Siddiq e Akbar ka
He yaare ghaar mehboobe Khuda, Siddiq e Akbar ka
Ilaahi rahem farma, khaadim e Siddiq e Akbar huun
Teri rehmat ke sadqe waasta, Siddiq e Akbar ka
Rasul aur Ambiya ke baad, jo afzal ho aalam se
Ye aalam mein he kis ka martaba, Siddiq e Akbar ka
Gada Siddiq e Akbar ka, Khuda se fazal paata he
Khuda ke fazal se mein huun gada, Siddiq e Akbar ka
Sambhaalo kuch mili khaake sare kuwe payambar se
Mustafa aaina he naqshe, ya Siddiq e Akbar ka
Huwe Farooq o Usman o Ali, jab daakhile bayt
Bana fakhro salaasil silsila, Siddiq e Akbar ka
Maqaame khwaabe raahat chen se aaraam kar ne ko
Bana pehlu e Mehboob e Khuda, Siddiq e Akbar ka
Ali hein us ke dushman aur woh dushman Ali ka
Jo dushman aql ka dushman huwa, Siddiq e Akbar ka
Lutaaya raahe haqq mein ghar kaee baar is muhabbat se
Ke lut, lut, kar Hassan ghar bhar gaya, Siddiq e Akbar ka

5. Khwaja e Hind Woh Darbaar Hai A’ala Teyra
Kabhi Mehroom Nahi Maangney Waala Teyra

Hai Teri Zaat Ajab Behr e Haqeeqat Pyaarey
Kisi Tairaak Ney Paaya Na Kinaara Teyra

Kis Qadar Josh Tahayyur Key ‘Ayaan Hain Aasaar
Nazar Aaya Magar A’inaa Ko Talwa Teyra

Gulshan e Hind Hai Shaadaab Kaleyjey Thandey
Waah Aey Abrey Karam Zor Barasna Teyra

Kya Mehak Hai Key Mu’attar Hai Dimaag e ‘Aalam
Takhta e Gulshaney Firdaus Hai Roza Teyra

Tujh Mey Hain Tarbiyatey Khizr Key Paida Aasaar
Behr o Bar Mey Hamain Milta Hai Sahaara Teyra

Phir Mujhey Apna Dar e Paak Dikhadey Pyaarey
Aankhein Pur Noor Ho Phir Deykh Key Jalwah Teyra

Zilley Haq Ghaus Pey Hai Ghaus Ka Saaya Tujh Par
Saaya Gustar Sarey Khuddaam Pey Saaya Teyra

Tujh Ko Baghdad Sey Haasil Huwi Woh Shaan e Raf’ee
Dang Reh Jaatey Hain Sab Deykh Key Rutba Teyra

Kyun Na Baghdad Mey Jaari Ho Teyra Chashma e Faiz
Behr e Baghdad Hee Ki Nehr Hai Darya Teyra

Jab Sey Tu Ney Qadam e Ghaus Liya Hai Sar Par
Awliya Sar Pey Qadam Leytey Hain Shaahaa Teyra

Mohyuddin Ghaus Hain Aur Khwaja Mo’inuddin Hain
Ai Hasan Kyun Na Ho Mehfooz ‘Aqeedah Teyra


Manqabat:
Manqabat on Ustad e Zaman Hazrat Hasan Raza khan RadiaAllahu anhu By Sufi Muhammed Jameel Akhtar Siddiqui Saheb Calcutta.

Aaqa ke Madhokhwan hai Mere Hasan Raza, Han Saniye Hassan Hai Mere Hasan Raza,
Beshak Mashame Jane Do Alam Hai Mushkbar, Naaton Ke itar daan hai mere Hasan Raza

Naaton Ko sunke unke Farishte bhi Mast hai, Moula Ke Hamdkhwan hai Mere Hasan Raza
Behre Uloom e Deen o Shariat ke hai Gohar, Husne Ilm ki Kamaan Hai Mere Hasan Raza

Sarkar e Do Jahan ki do no Jahan mein Azmat ke Paasbaan hai Mere Hasan Raza
Shero sukhan ki Raah ka Dar asal dosto Sarkheel e Karwan hai Mere Hasan Raza

Kehte hai Sare log Bariely ke aaj bhi Ruhaniyat ke Jaan hai Mere Hasan Raza
Fazle Khuda wa Faze Nabi wa wali se aaj Bandon pe Meharbaan Hai Mere Hasan Raza

Sheron mein Un ke ishq Sahaba ka hai Qumar Hassan Ki Zaban hai Mere Hasan Raza
Naaton Mein Ishq e Sayyade Aalam Ki Hai Mahek, Sher o Sukhan ki Jaan hai Mere Hasan Raza

Radd e wahabiyat pe bhi Ashar hai kahein, Maslak ke Tarjuman hai Mere Hasan Raza
Sarkar e Do Jahan Ki Azmat pe bil yaqeen Sou(1oo) Jaan se Qurban hai Mere Hasan Raza

Sajdon Ka Noor Chehra e Taba pe Dekhiye Imaan Ki Pehchaan hai Mere Hasan Raza
Paikar Nighae Paak se Sab Mast ho gaye Mekhanaye Imaan hai Mere Hasan Raza

Yun Bandagi Pe Jiski Malaik Bhi Dang hai Woh bandaye Rahmaan Hai Mere Hasan Raza
Shayan e Shaan Aap ki likhun koi Ghazal Dil ki mere Armaan hai Mere Hasan Raza

Naazan tha jiske Sher pe Delhi ka Daagh bhi, woh Shayer e Zeeshan hai Mere Hasan Raza
Mujh Par bhi dil se sunle Shab o Roz aye Jameel, Muddat se Meherbaan Hai Mere Hasan Raza

Manqabat written on Ustade Zaman by Naqeeb e Ahle Sunnat, Moulana Ali Ahmed Siwani Saheb

Ashiq e Shah e Zaman hai Bil Yaqeen Qibla Hasan
Madhakhwan e Panjatan hai Bil Yaqeen Qibla Hasan

Nikhat e Nukhta bayani se Muattar hai Dimaag
Khusboo e gul hae fan hai Bil Yaqeen Qibla Hasan

Daagh bhi naazan the apne neik khu Shagird par
Muatarif Ahle sunan hai Bil Yaqeen Qibla Hasan

Aap ka har sher hai Tafseer e Quraan e Majeed
Mazhar e khulqe hasan hai Bil Yaqeen Qibla Hasan

Aap ki Naaton ki Taseeron se Dil hai Muztarib
Wasif e Shah e Zaman hai Bil Yaqeen Qibla hasan

kaise kaise Shayaron ki Tarbiyat farmayi hai
Aap Ustad e Zaman hai Bil Yaqeen Qibla Hasan

Aaj Bhi Nakhade fun is baat ke hai Mohtarif
Haan Shahenshah e Sukhan hai Bil Yaqeen Qibla Hasan

Aap ki Nukta bayani ki Jahan me dhoom hai
Aftab e Ilm o fun hai Bil Yaqeen Qibla Hasan

Aap ki Har har ada Aks e kirdar e Rasool
Patawe Shah e Zaman Hai Bil Yaqeen Qibla Hasan

Aap Gulzar e Sukhan ki Hai baharien bekhaza
Baagh baane baagh e fun hai Bil Yaqeen Qibla Hasan

Aap ka ihsaan hai duniya e adab o sher par
Mohsin e Ahle Sukhan hai Bil Yaqeen Qibla Hasan

Aap ke Jalwon ki kirne hai Jahan e sher mein
Naiyar e Charkhe kohan hai Bil Yaqeen Qibla Hasan

Gulistan e Sher o Gulzar e Sukhan ka Doston
Bul Bul e Sheereen duhan hai Bil Yaqeen Qibla Hasan

Aap Ki fikr e Rasa ki hai Shuwaein Daher Mein
Jalwae Sher o Sukhan hai Bil Yaqeen Qibla Hasan

Ache Ache Shayarane Nukhta Ras ke dekhiye
Aaj Bhi Ustad e Fun hai Bil Yaqeen Qibla Hasan

Ahle deen Ahle Aqidat Sab pe hai Nazre karam
Mushfiqe Ahle Sunan hai Bil Yaqeen Qibla Hasan

Mein Ali Kam Faham kya Samjhu Unke Sher ko
Mahere Fune sukhan hai Bil Yakheen Qibla Hasan


Wisaal: Ustad-e-Zaman passed away from this temporary world on 3 rd shawal 1326 hijri...in the year 1908. Aala Hazrat Imam Ahmed Raza khan RadiaAllahu anhu Performed his Janazah Prayers and lowered him in qabar shareef with his Blessed Hands. His Mazar Shareef Situated in City Graveyard Bariely Shareef Beside his Mother Mazar Shareef

Aala Hazrat Dream: Ala Hazrat had a dream of him holding a big paper in his hand which is full of ashars poems in the phrase of Prophet MUHAMMAD sallalahu alahi wasallam and said brother my these poems are accepted in bargah-e-risalat sallalahu alahi wasallam, all this incident was further told by Ala Hazrat in his speech in RAZA Mosque before JUMA salah and countinously weeped and said if a single couplet of a poem is accepted in Bargah-e-RISALAT Salallahu alaihiwasalam the one got magfirat INSHALLAH but my brothers so many couplets are accepted in Bargah-e-RISALAT. Salallahu alaihiwasalam

Blessed Children:Ustad e Zaman Hazrath Hasan Raza khan RadiaAllahu anhu got 3 Blessed sons

1. Hazrath MOULANA HAKEEM HUSAIN RAZA KHAN RadiaAllahu anhu

2. HAKEEM-UL-ISLAM MUFTI HAZRAT ALLAMA HASNAIN RAZA KHAN RadiaAllahu anhu

3. Hazrath MOULANA FAROOQ RAZA KHAN RadiaAllahu anhu

Yeh kyun kahuun mujh ko yeh ataa ho yeh ataa ho

Woh do ke hameshaa mere ghar bhar ka bhalaa ho

kalaam e Ustad e Zaman Hazrath Moulana hassan Raza khan RadiaAllahu anhu.Due to Hazrat Ustad e Zaman RadiaAllahu anhu Prayers you can find a great personalities in his chain some of the great Blessed Personalities are Hakeem ul Islam Hazrat Hasnain raza khan RadiaAllahu ahu and Huzoor Ameen e Shariat Hazrat Sibtain Raza khan Quadri Noori Maddazilahul Noorani and Sadrul ulamma Hazrat Tahseen Raza khan RadiaAllahu anhu, Yadgar e Salf Hazrat Alamma Habeeb Raza khan Maddazillahul Noorani.

8 comments:

Unknown said...

MASHA ALLAH MASHA ALLAH

Unknown said...

ALLAH APKO HAR WAQT SALAMAT RAKHHE

Anonymous said...

I love Sarkar Hasan Raza (rahmatullai..)

Iftikhar Naveed said...

سبحان اللھ،شاندار آرٹیکل ھے،لیکن اس میں شاہ حسن رضا خان کی وہ مشہور عالم حمد باری تعٰالے شامل نھیں۔۔۔" فکر اسفل ھے میری،مرتبہ اعلٰی تیرا۔۔۔۔۔۔۔وصف کیا خاک لکھے خاک کا پتلا تیرا"

Iftikhar Naveed said...

سبحان اللھ،شاندار آرٹیکل ھے،لیکن اس میں شاہ حسن رضا خان کی وہ مشہور عالم حمد باری تعٰالے شامل نھیں۔۔۔" فکر اسفل ھے میری،مرتبہ اعلٰی تیرا۔۔۔۔۔۔۔وصف کیا خاک لکھے خاک کا پتلا تیرا"

Anonymous said...

اگر آپ کے پاس وہ منقبت مکمل ہو تو ضرور سینڈ کیجئے

Anonymous said...

Assalamualaikum wa rahmatullahi wa barkatahu
Aap Hazraat Apne wats app number yaha post kar liya kare ta k Aapko MASLAK E AALAHAZRAT Groups me add kiya ja sake jis k zariye Aap tak HUZOOR AMEEN E SHARIYAT WO HUZOOR TAJUSHAHRIYA aur KHANDAN E AALAHAZRAT k talluq se deegar post milti rahegi.

Anonymous said...

urdu mai hota tou acha tha

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More