Daagh-e furqat-e Tayba qalb muzmahil jaata

Daagh-e furqat-e Tayba qalb muzmahil jaata

Kaash Ghumbad-e Khazra dekhne ko mil jaata


Mera dum nikal jaata unke Aastane par

Unke Aastaane ki khaak meh mein mil jaata


Mere dil se dhul jaata daagh-e furqat-e Tayba

Tayba meh fanaa ho kar Tayba meh hi mil jaata


Maut le ke aa jaati zindagi Madine meh

Maut se gale mil kar zindagi meh mil jaata


Khuld zaar Tayba ka is tarha safar hota

Peeche peeche sar jaata aage aage dil jaata


Dil pe jub kiran parti unke subz Ghumbad ki

Uski subz rangat se baagh bun ke khil jaata


Furqat-e Madina ne wo diye mujhe sudme

Koh par agar parti koh bhi to hil jaata


Dil pe wo qadam rakhte Naqsh Paa ye dil banta

Yaa to khaak-e-paa bun kar paa se muttasil jaata


Un ke Dar pe Akhtar ki hasrate huwi poori

Saaile darre aqdas kaise munfail jaata

0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More