Basay hain jab se Madinay ke khaar Aankhon Mein

Basay hain jab se Madinay ke khaar Aankhon Mein
Hua hai Sehn-e-Chaman khaar zaar Aankhon Mein

Kuch aisa karday meray Kirdigar Aankhon Mein
Ke jalwagar rahay woh Gul Ezaar Aankhon Mein

Wo lala rukh ho agar jalwa baar Aankhon Mein
Bahaar-e-Lala ho phir paayedaar aankhno mai

Nazar yeh kehti hai be Ikhtiyaar Aankhon Mein
Inhain jo dekhain wohi hai hazaar Aankhon Mein

Inhain na dekha tou kis kaam ki hai ye Aankhien
Ke dekhnay ki hay saari bahaar Aankhon Mein

Abhi ho Rookash-e-Arsh-e-Bareen nazar mein
Jo aaey Arsh Nasheen Taajdaar Aankhon Mein

Nazar hai Rashk-e-Nazar Iftikhaar Aankhon Mein
Jisay karay wo Nazar Ikhiyaar Aankhon Mein

Bana’en dil ko wo ghar rah guzaar Aankhon Mein
Nazar ho kadmon pe inkay nisaar Aankhon Mein

Guzar ho inka kabhi be-Qaraar Aankhon Mein
Guhar hon Nazr-e-Qadam ashk baar Aankhon Mein

Khich aaee Jaan paey Intezaar Aankhon Mein
Karam se lijiye ab tou Qaraar Aankhon Mein

Karam se Jalwa karay jab nigaar Aankhon Mein
Khich aaey saari chaman ki bahaar Aankhon Mein

Phir aayen din meray AKHTER Shab-e-Huzoori mein
Karam se jalwa Karay jab Nigaar Aankhon Mein

Nighah-e-Mufti-e-Aazam ki hai ye Jalwagari
Chamak raha hay jo AKHTER hazaar Aankhon Mein

0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More