Aap Routay Jaayeingay Hum Ko Hasaatay Jaayeingay
Dil Nikal Jaanay Kee Jaa Hai Aah! Kin Aankhoo(n) Say Wo
Hum Say Piyaaso(n) Kay Liyay Darya Ba-ha-tay Jaayeingay
Haa(n) Chalo Hasrat Zad-oo(n) Suntay Hai(n) Wo Din Aaj Hai
(Th)ee Khabar Jisskee Kay Wo Jalwa Dikhaatay Jaayeingay
Ku(ch) (Kh)abar Bhee Hai Faqeero(n) Aaj Wo Din Hai Kay Wo
Na’mat-e-(Kh)uld Apnay Sadqay Mey(n) Luta-Tay Jaayeingay
Khaak Uftado Buss Unn Kay Aanay Hee Kee Dayr Hai
(Kh)ud Wo Girr Kar Sajda(h) Mey(n) Tum Ko Utha –Tay Jaayeingay
Wus’atey(n) Dee Hai(n) (Kh)uda Nay Daaman-e-Mehboob Ko
Jurm (Kh)ultay Jaayeingay Aur Wo (Ch)upatay Jaayeingay
Lo Wo Aayay Muskuratay Hum Aseero(n) Kee Taraf
(Kh)irman-e-Is’iyaa(n) Pay Bij-lee Gira-Tay Jaayeingay
Hash-ar Tak Daa-leyngay Hum Pey-Da-Ish-e-Maula Kee Dhoom
Miss-Lay Faa-Ris Najd Kay Qil Aey Gira-Tay Jaayeingay
Khaak Ho Jaayei(n) A’doo Jal Kar Magar Hum Tou Raza
Dum Mey(n) Jab Tak Dum Hai Zikr Unn Ka Suna-Tay Jaayeingay
0 comments:
Post a Comment