Naematein BaanT-ta Jis-Samt Woh Zeeshaan Gaya

Naematein BaanT-ta Jis-Samt Woh Zeeshaan Gaya
Saath Hii Munshi-E-Rahmat Ka Qalamdaan Gaya

Lay Khabr Jald Kay Ghairon Kii Taraf Dhayaan Gaya
Mere Mawla, Mere Aaqa, Tere Qurbaan Gaya

Aah Woh Aankh Jo nakaame Tamanna Hi Rahi
Haye Wo Dil Jo Tere Darr Se Pur-Armaan Gaya

Dil Hai Voh Dil Jo Teri Yaad Se Mamoor Raha
Sar Hai Voh Sar Jo Tere Qadmon Pe Qurbaan Gaya

Unhe Jaana, Unhe Maana Na Rakha Gair Se kaam
Lillahil Hamd Main Duniya Se Musalmaan Gaya

Aur Tum Par Mere Aaqa Kii 'Inaayat Na Sahii
Najdiyo Kalimah PaRhaanay Ka Bhi Ehsaan Gaya

Aaj Lay Unki Panaah, Aaj Madad Maang Unsay
Phir Na Maaneingay, Qayamat Mein Agar Maan Gaya
 

Uff Re Munkir Ye Badha Joshe Ta-assub Aakhir
Bheed Me Haath Se Kambakht Ke Imaan Gaya

Jaan O Dil Hosh O Khird Sab Tau Madinay Paunchay
Tum Nahin Chaltay Raza Saara Tou Saamaan Gaya

0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More