Woh Mere Dil Mein hai Qurbaan aisi Khalwat ke

Woh Mere Dil Mein hai Qurbaan aisi Khalwat ke, Woh Shamme Bazm hai Qurbaan aisi Jalwat ke

Mere Gunnah pe Daman hai Parda Poshi ka, Zahe Naseeb Mere Jurm or Nidamat ke

Male jo khaake Madina ko apne chehrae par, haseen zamane ke khwahaan ho uske surat ke

Qamar ko shak kiya khursheed tumne pher diya, Falak pe chal gaye sikke teri Hukumat ke

Tumhari Aqalon pe pathar Girohe bu lahebi, ke patharon ne bhi kalme pade risalat ke

Koi hai Kishte gul zard par hai aas bandhi, ki jhaale barsinge us par bhi abre rahemat ke

Chalo chalo Meri Jannat mein, Ranj o Gham kya hai, Yeh pyare pyare hai Irshad shah e Jannat ke

Woh Haath jake Yadullah se Mile Sibtain, Jo Daste Paake Nabi mein hai haath Bayat ke.

Naat Written by Huzoor Ameen e Shariat Hazrat Sibtain Raza khan Maddazilahul Noorani

0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More