Bahar aie hai Jannat ki Madine ke bayaban Mein

Bahar aie hai Jannat ki Madine ke bayaban Mein, Shaha woh Gul Ho tum Jisse ke Hai Nikhat Gulistan Mein

Naseeme Baghe taiba ghunchaye Gul ko Khilati Hai, Khushi Ke Shadiyane Bajrahe hai Har Ragejaan mein

Koi Kya Jaane Kya Rifat Hai tere Farqe Anwar ki
Kasam warid huwi Khake Khadam ki Tere Quraan Mein

Az Aadam Ta ba Issa aap hi ki abiyari se khile hai Phool Rahemat ke Nabuwat ke Gulistaan Mein

Nahi Hai Quwaate Parwaaz Jab roohul Quds ko Bhi, To Phir Kis ko Rasae ho Tumhare Raaz e Pinha mein

Tere Kuche Mein Marna Jab Hayate Javidani Hai, Mein Kya Majnu hun Jo Jaan du jakar Bayabaan mein

Tamanna Hai Tere Darbar mein Sibtain Ki Yah Rab, Ke uthun Hashr ke din Zumrae Ahmed Raza khan Mein


Naat Written by Huzoor Ameen e Shariat Hazrat Sibtain Raza khan Maddazilahul Noorani

0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More