Shuja’ath Naaz karthi he jalaalath naaz karthi he
Woh sultaane zamaan he un pe shaukath naaz karthi he
Sadaaqath naaz karthi he amaanath naaz karthi he
Humiyyath naaz karthi he murawwath naaz karthi he
Shahe khoobana pe har khoobi-o khaslath naaz karthi he
Kareem aise hein woh un par karaamath naaz karthi he
Jahaan e husn me bhi kuch niraali shaan he un ki
Nabi ke gul pe gulzaarown ki zeenath naaz karthi he
Shehanshaahe shaheedaan ho anokhi shaan waale ho
Husain ibne ali thum par shahaadath naaz karthi he
Bit’ha kar shaana e aqdas pe kardi shaan do bala
Nabi ke laadlown par har fazeelath naaz karthi he
Nigaah e naaz se naqsha badal deythe hein aalam ka
Adaa-e sarware khoobaan pe nudrath naaz karthi he
Fidaa-i hoon tho kis ka hoon koi dekhe meri qismath
Qadam par jis Haseen ke jaane thal’ath naaz karthi he
Khude ke fazl se Akhthar mai unka naam lewa hoon
Me hoon qismath pe naazaan mujh pe qismath naaz karthi he
0 comments:
Post a Comment