Bagh Jannat Ke Hain behr madha khan-e-Ahelbait

Bagh Jannat Ke Hain behr madha khan-e-Ahelbait

Tum ko mujda naar ka aye dushmanan-e-Ahelbait



Kis zaban se ho bayan izzo shane-e-Ahelbait

Madha goe Mustafa hai,madha Khan-e-Ahelbait



Unki paki ka Khuda-e-pak karta hay bayan

Aya-e-Tatheer se zahir hay Shan-e-Ahelbait



Apna soda baich kar bazaar soona kar gaee

Kon si basti basaee tajran-e-Ahelbait



Razm ka maidan bana hay jalwa gahe Husn-o-Ishq

Karbala main ho raha Imtehan-e-Ahelbait



Phool zakhmo kay khilae hai Hawae dost nay

Khoon say seencha gaya hai Gulsatan-e-Ahelbait



Jumma ka din hay kitab-ezeest kit eh kar kay aaj

Khailty hay jan par Shezadgan-e-Ahelbait



Aey shabab-e-fasl gul yeh chal gai kaisi hawa

Kat raha hay lelehata bostan-e-Ahelbait



Kis shaqi ki hay hakomat ha-ee kiya andhair hay

Din dehare lut raha hay Karwan-e-Ahelbait



Kushk ho ja khak ho kar khak main mil ja Furat

Khak tujh par,daikh to sookhi zaban-e-Ahelbait



Teri qudrat janwar tak aab say serab hoo

Auo piyas ki shidat main tarpy bayzuban-e-Ahelbait



qafla salar manzil ko chaly hay sonp kar

waris bay warisa ko karwan-e-Ahelbait



Fatima  kay laadly ka aakhri didar hay

Hashr ka hangama barpa hay mayan-e-Ahelbait



Waqt akhir keh raha hay khak main milta suhag

Ke loo salam aakhri aay bewgan-e-Ahelbait





Inke ghar mein be ijazat Jibrael aate nahi

Qadr wale jante hain qadr shane-e-Ahelbait



Be Adab Gustaakh Firke Ko Sunade Ae Hasan

Youn Kaha Karte Hai Sunni Daastaan e Ahle Bayth

0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More