Dhoondhte Dhoondhte Is Deher Mein Thak Jaoge

Manqabat on Tajdare Ahle sunnat, Mufti e Azam e Alam, Mujadid Ibne Mujadid, Mustafa Raza khan Quadri RadiaAllahu anhu

Dhoondhte Dhoondhte Is Deher Mein Thak Jaoge
Aisa Murshid Na Zamane Mein Kahin Paoge

Jab Kabhi Sheher-e-Bareily Ki Taraf Jaoge
Unke Rowze Pe Madeene Ki Hawa Khaoge

Wo Sakhi Ibn-e-Sakhi hai Wo Vali Ibn-e-Vali
Unke Darwaze Se Khaali Na Kabhi Aaoge

Kiya Mere Ghar Ki Ydaasi Na Kabhi Jaayegi
Kiya Ghareebo Ke Yahan Ab Na Kabhi Aaoge

Meri Roti Huee Aankho ne Pukara Hai Tumhe
Aiy Mere Shaikh Mere Khwaab Mein Kab Aaoge

Aansuo Ab Meri Aankhon hi mein Rehna Seekho
Daman-e-Mufti-e-Aazam Na Kahin Paaoge

Koun Sunta Hai Yahan Raaz Faghan-e-Durwesh
Dil-e-Betaab Liye Kis Ki Taraf Jaaoge

0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More