Adaa-e-Mustafa Tum ho, Raza-e-Mustafa Tum ho

Mufti-e-Aazam e Alam Mustafa Raza khan RadiaAllahu anhu Ki Bargah Mein Khiraj-e-Aqeedat--> By Hazrat Allama Rehan Raza RehmaniMiya AlehiRehmah


Adaa-e-Mustafa Tum ho, Raza-e-Mustafa Tum ho
Her Eik Anwaar Se Aiy Muqtada Ahmed Raza Tum ho

Shabeeh-e-Hazrat-e-Ghou-ul-Wara Ibn-e-Raza Tum Ho
Jahan-e-Ilm Ke Mufti-e-Aazam Mustafa Tum Ho

Vali Ibne Vali Zinda Vali ho Paarsa Tum Ho
Saraapa Zohd Tum ho, Aur Paiker-e-Sidqo safaa Tum ho

Tumhare Zahir-O-Batin Pe Naaza Paarsai Hai

Jo Khair-e-Atqiyaa Tum ho To Naaz-e-Asfiyaa Tum Ho

Pilaado Jaam-e-Noori Apni Noorani Nigaaho Se
Ke Noori Maikadah Ke Meer Mere Saaqiya Tum Ho

Meri Duniya-e-Deen Ka Maa-Hasal Ulfat Tumhari Hai
Qiyamat Mein Mere Maawa Wa Maljaa Aasra Tum ho

Kisi Ko Kiyon Sunaaun Daastan Apne Masayeb Ki
Mere Dukh Ki Dawa Tum ho Mere Mushkil Kusha Tum ho

Mujhe Toufiq Sabr-O-Isteqamat Bakhsh do Aaqa
Mujassam Isteqamat Paiker-e-Sabr-O-Raza Tum Ho

Ussi Mithi Nazar Se Dekh Lo Fir Apne Mangta Ko
Ke Uski Aarzu Wa Hasrat Tamanna Mud-dua Tum ho

Tumhari Zaat Mein Jalwe Raza Hamid Raza Ke Hain
Mere Hamid Raza Tum Ho Mere Ahmed Raza Tum ho

Woh Mere Saamne hain Poochhte Hain Aarzu Kiya Hai
Mere Moula Zubaa'n Dede Keh doon Mud-dua Tum ho

Sakhi Tum Ho Main Sayil Hoon, Vali Tum ho Main Aasi Hun
Mareez-e-Dard-e-Isyaa'n Hoon Dawa Tum ho Shifa Tum ho

Raza Wa Hamid-o-Noori Ka Gulshan Hai Baharo Per
Shagufta Iss Chaman Mein Khair se Rehaan Raza Tum Ho

0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More