Tumhara naam musibat mey jab liya hoga,

Tumhara naam musibat mey jab liya hoga, hamara bigda howa kaam ban gaya hoga
Gunahghaar peh jab lutf Aap ka hoga, kiya baghayr kiya bey kiya kiya hoga

Khuda ka lutf huwa hoga dastagir zaroor, jo girthay girthay thera naam ley liya hoga
aur dikhaey jaaey gi mehshar mein shaane Mahboobi, keh Aap hi ki khushi Aap ka kaha hoga

Khudaey Paak ki chahein gey aglay pichlay khushi, Khudaey Paak khushi un ki chahtha hoga
Kisi key paaon ki beyri yeh kaat-thay hon gey, koi aseere gham unko pukaartha hoga

kisi taraf sey sada aaey gi Huzoor aaow! nahi tho dam mey ghareebon ka faisala hoga
aur kisi key pallay peh yeh hongay waqt wazne amal, koi umeed sey mooh unka tak raha hoga

koi kahay ga duhaahi hey Ya Rasulullah! tho koi thaam key daman machal gaya hoga
aur kisi ko ley key chalein gey farishtay sooey jaheem, tho woh un ka raastha phir phir key dekhta hoga

Shakistha paaon meyray haal ki khabr kar do, koi kisi sey yeh roh roh key keh raha hoga
Khuda key waasthay jald un say arzey haal karow, kisay khabr hai key dhambar mey haal kya hoga

pakar key haath koi haaley dil sunaaey ga, tho roh key qadmon pey koi machal gaya hoga
tho roh key qadmon pey koi lipat gaya hoga

zaban sooki dikha kar koi labay kauthar, Janabay Paak key qadmon pey gir gaya hoga
nishaaney husraway di door mey ghulaamon ko, liwaey hamd ka parcham batha raha hoga

koi qareebay tharazu koi labay kauthar, koi sirat pey unko pukaartha hoga
yeh beykaraar karay gi sada ghareebon ki, keh muqaddas ankhon sey thalaash ka bandha hoga

woh paak dil key nahi jisko apna andeysha, khoj mey fikr o tharado mey gir gaya hoga
hazaar jaan fida narm narm paaon sey, pukaar unkay aseeron ki daudtha hoga

azeez bachay ko ma jis tarhay talash karay, Khuda gawa yahi haal Aap ka hoga
Khudai bhar inhi haathon ko deykhthi hogi, zamana bhar unhi qadmon pey lowt-tha hoga

maqaam faasilon par kaam mukhtalif ithnay, woh din zahooray zamanay Huzoor ka hoga
kahein gey aur nabi 'iz habu ila ghairi', meray huzoor keh lab par 'ANA LAHA' hoga

'ANA LAHA' hoga 'ANA LAHA' hoga, 'ANA LAHA' hoga 'ANA LAHA' hoga

Duaey ummath badkaar wirday lab hogi, aur Khuda kay saamney sajdey mey sar jhuka hoga
ghulaam unki inayath say chayn mey hongay, aduw Huzoor ka aafath mey mubthala hoga

aur mey un key dar ka bikari hun fazlay Mouwla sey, Hassan faqeer ka jannat mey bistara hoga

0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More