Rusul Unhi Ka To Muzdah sunane Aaye Hai
Unhi Ke Aane Ki Khushiya Manane Aaye Hai
Firishte Aaj Jo Dhume Machane Aaye Hai
Unhi Ke Aane Ki Shadi Rachane Aaye Hai
Falak Ke Hur O Malak Geet Gaane Aaye Hai
Ki Do Jahan Me Ye Danke Bajane Aaye Hai
Ye Bhoole Bichdo Ko Raste Pe Laane Aaye Hai
Ye Bhoole Bhatko Ko Hadi Banane Aaye Hai
Chamak Se Apni Jahan Jagmagane Aaye Hai
Mahak Se Apni Ye Kunche Basane Aaye Hai
Naseem E Faiz Se Gunche Khilane Aaye Hai
Karam Ki Apni Bahaare Dikhane Aaye Hai
Yahi To Sote Huwo Ko Jagane Aaye Hai
Yahi To Rote Huwo Ko Hasane Aaye Hai
Unhe Khuda Ne Kiya Apne Milk Ka Maalik
Unhi Ke Qabze Me Rabb Ke Khazane Aaye Hai
Jo Chahenge Jise Chahenge Ye Use Denge
Kareem Hai Ye Khazane Lutane Aaye Hai
Rauf Aise Hai Ye Aur Raheem Hai Itne
Ki Girte Padto Ko Seene Lagane Aaye Hai
Sunoge "La" Na Zabaan E Kareem Se Noori
Ye Faiz O Jood Ke Dariya Bahane Aaye Hai
(Salallahu alaihiwasalam)
0 comments:
Post a Comment