Woh Sarware Kishware Risalat Jo Arsh Par Jalwah Gar Hoye Thay
Naay Nirale Tarab Ke Saman Arab Ke Mehman Ke Liye Thay
Bahare Shadiyan Mubarak Chaman Ko Abadiyan Mubarak
Falak Falak Apni Apni Lay Mein Yay Ghur Anadil Ka Boltay Thay
Wahan Falak par yahan Zameen Mein Rachi thi Shadi Machi Thi Dhoomein Udhar Se Anwar Hanstay Atay Idhar Se Nafhat Uth Rahe Thay
Ye jod padhti thi Unke (Sallallaho alay he wasallam) Rukh ki ke Arsh tak chandni thi chanki
Woh raat kya jag maga rahi thi jaga jaga nasb Ainay thay
Naee Dulhan Ki Phaban mein Kaaba Nikhar Kay Sanwra Sanwar Kay Nikhra
Hajar Ke Sadqay Kamar Ke Ek Til Mein Rang Lakhon Banao Kay Thay
Nazar Main Dulha kay Pyare jalway haya say mehrab sar jhukaaye
Siyah Parday ke moon pe anchal tajalliye zaat e bahat ke thay
Khushi ke badal umad ke aaye diloun ke taoo sirang laaye
Woh naghmae naat ka sama tha haram ko khud wajd arahay thay
Yeh jhooma mizab e zar ka jhoomar ke araha kaan par dhalak kar Phuwar barsi to moti jhadkar hateem ki gode main bharay thay
Dulhan ki khushboo se mast kapday naseem e gustakh anchaloun say Ghilafe mushkeen jo udh raha tha ghazaal naafay basa rahe thay
Pahadiyoun ka woh husn e tazeen woh unchi choti woh naaz tamkeen Sabaaz sabzay pay lehrein aaein dupattay dhani chunay huay thay
Naha ke nehro may woh chamakta libas aabay rawan ka pehna Ke mouj e jhadiyan ki dhaar lachka hababe taban ke thal takay thay
Purana purdagh malgaja tha uthadiya farsh chandni ka
Hujoom e taaray nigah se koso qadam qadam farsh baadlay thay
Ghubbar Ban Kar Nisar Jaein Kahan Ab Us Rah Guzar Ko Paein Hamare Dil Hooryoun Ki Ankhein Farishtoun Ke Par Jahan Biche Thay
Khuda Hi Day Sabar Jan Pur Gham, Dikhaoon Kyun Kar Tujhe Woh Alam
Jab Unko (Sallallaho alay he wasallam) Jhurmut Mein Lay Ke Qudsi Jinan Ka Dulha Bana Rahe Thay
Utar Kar Unke (Sallallaho alay he wasallam) Ruq Ka Sadqa
yay Noor Ka Bat Raha Tha Bada Ke Chand Sooraj Machal Machal Kar Jabeen Ki Khairat Mangtay Thay
Wohi To Ab Tak Jhalak Raha Hai Wohi to Joban Tapak Raha Hai Nahane Main Jo gira tha Pani Katoray Taron nay bhar Liye thay
Bacha Jo talwoun ka Unke (Sallallaho alay he wasallam) Dhowan
Bana Woh Jannat ka rang o roughan
Jinhoun ne Dulha ki pai Utran woh phool Gulzar Noor Ke Thay
Qabr yeh teh weel e mehr ki thi ke rut suhani ghadi phiray gi
Wahan ki poshak zaib e tan ki yahan ka joda badha chukay thay
Tajalli e Haq Ka Sehra Sar Par Salat o tasleem ki nichawar Do roya qudsi paray jama kar khaday salami kay wastay thay
Jo Hum bhi wahan hote qak e gulshan lipat ke qadmoun say laitay utran Magar karain kya naseeb main to yai namuradi ke din likhay thay
Abhi na aaye thay pusht zeen tak ke sar hui maghfirat ki shallat
Sada shafaat ne di Mubarak gunah mastana jhoom tay thay
Ajab na tha raqsh ka chamakna ghazaal dam khurdah sa bhadakna Shuaayn bukkay uda rahee theen tadaptay ankhon pe saayqay thay
Hujoom ummed hai ghata o muradain day kar inhain hatao Adab ki bagain liye badhao malaika main yai ghalghalay thay
Uthi jo gard rahay munawwar woh noor barsa ke rastay bhar Ghiray thay badal bharay thay jal thal umad kay jungal ubal chalay thay
Sitam kiya kaisi mat kati thi qamar woh qak un kay rah guzar ki Uthana laya ke maltay maltay yai dagh sab dekhna mitay thay
Buraq ke naqsh sum ke sadqay woh gul khilaye ke saray rastay Mehak tay bul bul lehak tay gulshan haray bharay leh leha rahay thay
Namaz e Aqsa mein tha yahi sir ayan houn mani e awwal aaqir Kay dast basta hain peechay hazir jo saltanat agay kar gaay thay
Yeh Unki (Sallallaho alay he wasallam) aamad ka dab daba tha nikhar har shay ka ho raha tha Nujoom o Aflaak jaam o meena ujaltay thay
khangal tay thay Naqab ultay woh mehr anwar jalal ruqsar garmiyoun par Falak ko haibat se tap chadi thi tapaktay anjum ke aablay thay
Yeh joshishe noor ka asar tha ke aabay gohar kamar kamar tha Safaay rah se phisal phisal kar sitaray qadmoun pe loat te thay
Badha yai lehra kay behre wahdat kay dhul gaya nam-e-raig kasrat Falak kay tiloun ki kya haqeeqat yai Arsh o Kursi do bulbulay thay
Woh zille rehmat wo rukh ke jalway ke taray chuptay na khulnay patay Sunehri zarbaft oodi atlas ye than sab dhoop chaoon ke thay
Chala wo sarwe chamaan khuraamaan na ruk sala sidrah se bhi daamaan Palak jhapakti rahi woh kab kay sab een o aan say guzar chukay thay
Jhalak si Ek qudsiyoun par Aai hawa bhi daman ki phir na paee Sawari Dulha ki door pohnchi barat main hosh hi gaye thay
Thakay thay Rooh-ul-Ameen Kay Bazoo Chuta woh daman kahan woh pehloo Rikab chooti ummed tooti nigah e hasrat ke wal walay thay
Rawish ki garmi ko jis nay socha damagh say ek babuka phoota Khirad ke jangal main phool chamka dahar dahar paidh jal rahe thay
Jilo mein jo murgh e aqal uday thay ajab buray haloun girtay padhtay Woh sidrah hi par rahe thay thak kar chada tha dam taiwar aagaye thay
Quwi thay murghan e weham ke par uday to udnay ko aur dham bhar Uthay seenay ki aisi thokar ke khoon e andesha thooktay thay
Suna ye itnay main Arsh e Haq Nay Kaha Mubarak houn taj walay Wohi qadam khair say phir Aay jo pehlay taj e sharf Teray thay
Yeh sun ke bay khud pukar utha nisar jaoon Kahan Hain Aqa (Sallallaho alay he wasallam) Phir Unke (Sallallaho alay he wasallam) qadmoun ka paoon bosa yeh meri ankhon ke din phiray thay
Jhuka Tha mujray ko Arsh e Ala giray thay Sajday main bazm e Bala Yeh ankhain Qadmoun se mal raha tha woh gird e qurban ho rahay thay
Ziyaein kuch Arsh par yeh Aain ke sary khandilain jhil milaeen Huzoor khursheed kya chamaktay chiragh moon apna dekhtay thay
Yahi saman tha ke Paik e Rehmat qabar yeh laya ke Chaliye Hazrat ( sallallahu alai hi wa sallam) Tumhari (Sallallaho alay he wasallam) Khatir Kushadah hain jo Kaleem par band rastay thay
Badh Aye Muhammad (Sallallaho alay he wasallam) qareeb ho Ahmed (Sallallaho alay he wasallam) Qareeb Aa Sarwar e Mumajjad (Sallallaho alay he wasallam) Nisar Jaoon yeh kya sada thi yeh kya saman tha yeh kya mazay thay
Tabarak Allah Shan Teri Tujhi ko zaiba hai bey niyazi Kahin to woh josh e Lan Tarani kahin taqazay wisal kay thay
Khirad say keh do ke sar jhukalay guma se guzray guzarnay walay Paday hain yan khud jihat ko lalay kisay bataay kidhar gaay thay
Suragh een o mutaa kahan tha nishan kaif o ila kahan tha Na koi rahi na koi sathi, na sang e manzil na marhalay thay
Udhar say peham taqazay aana, idhar tha mushkil qadam badhana Jalal o haibat ka samna tha, Jamal o Rehmat ubhaarte thay
Badhay to laikin jhi jhaktay dartay haya se jhuktay adab se ruktay Jo khurb Unhi ki rawish pe rakhtay to lakhon manzil kay faslay thay
Par un ka badhna to nam ko tha haqeeqatan fayll tha Udhar Ka Tanazzuloun main taraqi Afza dana tadalla kay silsilay thay
Huwa yeh aqir ke ek bajra tamawwuje behr hu mein ubhra Dana ki godi main Unko (Sallallaho alay he wasallam) laykar fana ke langar uthadiye thay
Kise mile ghat ka kinara kidhar se guzra kahan utara Bhara jo misl e nazar tarara woh apni ankhon se khud chupay thay
Uthay jo khasr e dana ke parday koi khabar day to kya khabar day Wahan to jahi nahin doi ki na keh ke woh bhi na thay aray thay
Woh bagh kuch aisa rang laya ke ghuncha o gul ka farq uthaya Girah mein kaliyoun ki bagh phoolay guloun ke tukmay lagay howay thay
Muheet o markaz mein farq mushkil rahay na fasil khutoot e wasil Kamaanain Hairat mein sar jhukaay Ajeeb Chakkar mein dairay thay
Hijab uthnay mein lakhon parday har ek parde mein lakhon jalway Ajab ghadi thi ke wasl o furqat janam ke bichday galay milay thay
Zabanain sukhi dikha kay mojain tadap rahi theen ke pani paein Bhanwar ko ye zauf tishnagi tha ke halqay aankhon main padgaay thay
Kaman e Imkan kay jhootay nukhto tum Awwal Aakhir kay phair main ho Muheet ki chaal say to pucho kidhar se Aaye kidhar gayay thay
Udhar say theen nazr e sha namazain idhar say inam e Khusrawi main Salam o Rehmat kay har gundh kar Guloo ay Pur Noor main padhay thay
Sanaay Sarkar ( sallallahu alai hi wa sallam) hai wazeefa qubool e Sarkar ( sallallahu alai hi wa sallam) hai Tamanna Na Shairi ki hawas na parwa rawi thi kya kaisay qafiyay thay.
0 comments:
Post a Comment