Bakhte Kufta ne mujhe Roze pe jane na diya
Chashm o dil seene kalejay se lagane na diya
Ah qismat mujhe dunya k ghamoo ne roka
Ha'ay taqdeer k Taiba mujhe jane na diya
Paoon thak jaate agar paoon banata sar ko
Sar k bal jata magar zof/zok ne jane na diya
Sar to sar jaan se jane ki mujhe hasrat he
Mot ne ha'ay mujhe jaan se jane na diya
Sharbat e Deed ne or aag laga de dil mein
Tapsh e dil ko barhaya he, bujane na diya
Ab kahaan jae ga Naksha Tera mere dil se
Tehh me rakha he, Ise dil ne gumane na diya
Sajda karta jo mujhe is ki ijazat hoti
Kya karoon Izn mujhe is ka Khuda ne na Diya!
Mere a'amal ka badla to Jahannum hi tha
Mein to jaata, mujhe Sarkar ne jane na diya
Mere a'amal e sayah ne kiya jeena dobar
Zahr Khata, Tere Irshad ne khane na diya
Nafs e badkar ne dil par yeh qiyamat tori
Amal e naik kiya b to chupane na diya
Or Chamakti si Ghazal koi parho Ay Noori
Rang apna abhi jamn e Shu'ara ne na diya
Bakhte Kufta ne mujhe Roze pe jane na diya
Chashm o dil seene kalejay se lagane na diya
(Sallallahu Alahi wa Sallam)
0 comments:
Post a Comment