rukh din hai yā mihr-e-samā, yeh bhi nahiN who bhi nahiN

rukh din hai yā mihr-e-samā, yeh bhi nahiN who bhi nahiN
shab zulf yā mushk-e-khatā, yeh bhi nahiN who bhi nahiN



mumkin meiN yeh qudrat kahāN, wājib meiN ábdiyyat kahāN
ĥayrāN huN yeh bhi hai khaţā, yeh bhi nahiN woh bhi nahiN



bulbul ne gul un ko kahā, qumrī ne sarv-e-jāN fazā
ĥayrat ne jhunjhlā kar kahā, yeh bhi nahiN who bhi nahiN



khurshīd thā kis zor par, kyā baDhke chamkā thā qamar
bey pardah jab who rukh huwā, yeh bhi nahiN woh bhi nahiN



Dar thā ke işyāN kī sazā, ab ho giyā roz-e-jazā
dee un ki raĥmat ne şadā, yeh bhi nahiN who bhi nahiN



koyī hai nā zāN zuhd par, yā ĥusn-e-taubā hai sipar
yāN hai faqaţ terī áţā, yeh bhi nahiN who bhi nahiN



din lahw meiN khonā tujhey, shab şub’ĥ tak sonā tujhey
sharm-e-nabīy, khauf-e-khudā, yeh bhi nahiN woh bhi nahiN



rizq-e-khudā khāyā kiyā, farmān-e-ĥaqq Tālā kiyā
shukr-e-karam, tars-e-sazā, yeh bhi nahiN who bhi nahiN



hai bulbul-e-rangīN razā, yā ţūţi-e-naghmā sarā
ĥaqq yeh ke wāşif hai terā, yeh bhi nahiN who bhi nahiN

0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More