woh su'ey laalah zaar phirtey haiN

woh su'ey laalah zaar phirtey haiN
tere din ay bahaar phirtey haiN

jo terey dar se yaar phirtey haiN
dar ba dar yuN hi khaar phirtey haiN

aah kal `aysh to kiye hum ne
aaj woh be qaraar phirtey haiN

har charaaghe mazaar par qudsee
kaysa parwaanah waar phirtey haiN

us gali kaa gadaa huN maiN jis meiN
maangtey taajdaar phirtey haiN

jaan haiN jaan kyaa nazar aaye
kyuN `adu gird e ghaar phirtey haiN

phuul kyaa dekhuN meri aankhoN meiN
dasht e taybah ke khaar phirtey haiN

laakhoN qudsi haiN kaam e khidmat par
laakhoN gird e mazaar phirtey haiN

rakhiye jaise haiN khaana zaad haiN hum
mol ke `ayb daar phirtey haiN

haay ghaafil woh kyaa jagaah hai jahaaN
paanch jaatey haiN chaar phirtey haiN

jaag sun saan ban hai raat aayee
gurg bahr e shikaar phirtey haiN

nafs ye koyi chaal hai zaalim
jayse khaaSey bijaar phirtey haiN

koyi kyuN puuche teri baat razaa
mujh se kuttay hazaar phirtey haiN

1 comments:

Unknown said...

koyi kyuN puuche teri baat razaa
Tujhse Mangte hazaar phirtey haiN

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More