khuda ke fazl se hum par he saaya gause aazam ka
hume dono jahaan me he sahaara gause aazam ka
mureedi la-takhaf keh kar tasalli di gulaamo ko
qayaamat tak rahe be-kahuf bandaa gause aazam ka
humaari laaj kis ke haath he baghdaad wale ke
musibat taal dena kaam kis ka gause aazam ka
hui ek deo se ladki riha us naam leva ki
padha jungal me jab usne wazifa gause aazam ka
rasulullah ka dushman he gaus e paak ka dushman
rasulullah ka pyaara he pyaara gause aazam ka
gaye ek waqt me sattar mureedo ke yahaa aaka
samaj me aa nahi sakta muamma gause aazam ka
azizo kar chuko taiyaar jab mere janaaze ko
to likh dena kafan par naam leva gause azzam ka
farishto rok te ho kyo muje jannat me jane se
ye dekho haath me daaman he kis ka gause aazam ka
lahad me jab farishte muj se puchhege to keh duga
tariqa qaadri hu naam leva gause aazam ka
janaab ghaus dulha aur baraati auliya honge
mazaa dikhlayega mehshar me sehra ghaus e aazam ka
nidaa dega munaadi hashr me yu qaadriyo ko
kidhar he qaadri karle nazaara gause aazam ka
mukhalif kya kare mera ke he behad karam muj par
khuda ka rahmatallil aalmeen ka gause aazam ka
farishte madrasse tak saath pahonchaane ko jate the
ye darbaare ilaahi me he rutba gause aazam ka
salasile jahan kyu gar na unke rob se kaampe
na laya sher ko khatre me kutta ghause aazam ka
jameel e qaadri sau(100) jaan ho qurbaan murshid par
banaaya jis ne hum jaiso ko bandaa gause aazam ka
3 comments:
SubhaanAllah!Mad'dha-e-Habeeb SallAllahuAlayJiWaSallam, Huzoor Jameel-ur- Rahmaan Qadri Barkaati Razvi (RadiAllahuAnhu).
subhanallah .ya gous-e-azam al-madad
Masha allah bohot khoob
Post a Comment