Chaldiye tum Aankh me ashko ka daryaa chhod kar

Manqabat of Ghaus ul Waqt Huzoor Mufti e Aazam Muhammad Mustafa Raza Khan RadiAllaho Taala Anho written by Huzoor Taju Shariah Mufti Akhtar Raza khan Azhari Miya Maddazilahul Noorani

Chaldiye tum Aankh me ashko ka daryaa chhod kar Ranje furqat ka har ek seene meh sha'la chhod kar

Laz'zat mae legayaa wo jaamo meena chohd kar Mera saaki chaldiya khud me ko tashna chhod kar


Har jigar me dard apna mitha mitha chhod kar Chaldiye wo dil me apna naqshe waala chhod kar

Jaame mushke liye Arshe Mu'Allah chhod kar Farsh par aaye Farishte bazme baalaa chhod kar

Aalim baalaa me har sow marhaba ki ghoonj thi Chaldiye jab tum zamaane bar ko soona chhod kar


Maut Aalim se bundi he maute aalam be ghumaa Roohe aalam chaldiya aalam ko murdo chhod kar

Mut'taqee bun kar dikhaaye is zamaane me koyee Ek mere Mufti-e-Aazam ka Taqwa chhod kar


Khwaab me aakar dikaawo humko bi eh jaa kabhi Konsi dunya basaa'ee tumne dunya chhod kar

Ek tum dunya me reh?kar tareek?e dunya rahe Reh ke dunya me dikhaaye ko-ee dunya chhod kar


Iska eh Sha-e-Zaman saraa zamaana hogaya Jo tumhara hogayaa saraa zamaana chhod kar

Rahnumaye raahe Jannat he Tera naqshe Qadam Raahe Jannat tena hogee Tera rasta chhod kar


Misle ghiro saya-e-duste karam he aaj bee Kon kehta he gaye wo be-sahaara chhod kar

Ho sakhe to dekh 'AKHTAR' Baaghe Jannat me isse Wo gayaa taaro se aaghe aashiyaana chhod kar


0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More