Dil mein ho yaad teri gosha e tanhaii ho

Dil mein ho yaad teri gosha e tanhaii ho
Phir tau khalwat mein ajab anjuman aaraii ho
A quiet corner and thoughts of you on my mind
What a gathering then in my solitude there´d be!

Aastaane pe tere sar ho, ajal aaii ho
Aur ay jaan e jahaan tu bhii tamashaii ho
My head on your doorstep with Death approaching
Oh Soul o´my soul, if only you too were watching!

Aaj jo aib kissi par nahin khulne dete
Kab voh chaheinge meri hashr mein rusvaii ho
He who doesn´t allow my faults to be made public
How would he allow me to be disgraced on Judgement Day?

Kabhi aisa na huwa unke karam kay sadaqay
Haath kay phailne se pehle na bheek aaii ho
This never happens that whilst seeking his grace
One did not receive charity ere the stretching out of the hand!

Uski qismat pe fida takht e shahi kii raahat
Khaak e Taiba pe jisse chain kii need aaii ho
May the comforts of kingship be sacrificed for the fate
Of one with the serenity of sleeping on Madina´s dust!

Band jab khwaab e ajal se hoN Hasan kii aankhein
Uski nazron mein tera jalwa e zaibaii ho
When Hasan´s eyes close with the onset of the Eternal Sleep
Let his sight be filled with your august vision!
(Sallallaho alaihi wa aalihi wa ashaabihi wabarik wasallam)

5 comments:

Anonymous said...

SUBHANALLAH. is sy brh k or kia koi likh skta hai.

Anonymous said...

Mashallah Pls tell me the poet name and pls correct below stanza
Uski qismat pe fida takht e shahi kii raahat
Khaak e Taiba pe jisse chain kii need aaii ho

Anonymous said...

Subhan Allah very nice

Anonymous said...

masha allah

Ghulam e Sibtain Raza Mohammed khwaja Shamsuddin Sibtaini said...

Poet is Bradar e Aala Hazrat Ustad e Zaman shahenshah e sukhan Hazrat Alamma Moulana Hasan Raza khan RadiaAllahu anhu

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More