Dil dard se bismil ki tarha laut raha ho

Dil dard se bismil ki tarha laut raha ho
Seene pe tasalli ko tera haath dharaa ho

Gar waqt-e-ajal sar teri chaukhat pe jhuka ho
Jitni ho qazaa ek hi sajde mein adaa ho

Tum zaat-e-khuda se na judaa ho na khuda ho
Allah ko maaloom hai kya jaaniye kya ho

Yeh kyun kahuun mujh ko yeh ataa ho yeh ataa ho
Woh do ke hameshaa mere ghar bhar ka bhalaa ho

Aata hai faqeeron pe unhi pyaar kuch aisa
Khud bheek dein aur khud kahe mangta ka bhalaa ho

Mangta to hai mangta koi shaahon mein dikhaade
Jisko mere Sarkaar se tukraa na mila ho

Mitti na hoo barbaad passe marde ilaahi
Jab khaak urey meri Madine ki hawaa ho

Dekha unhe mehshar mein to rahmat ne pukaaraa
Aazad hai jo aap ke daaman se bandha ho

Dhoonda hi karein sadr-e-qayaamat ke sipaahi
Woh kis ko mile jo tere daaman mein chupa ho

Shaabaash Hassan aur chamakti si ghazal parh
Dil khol kar aaina e iman ki jilaa ho

De daaliye apnay lab-e-jaan bakhsh ka sadqa
Ae chara-e-dil dard-e-hasan ki bhi dawa ho

0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More