Uthado Pardah Dikhaado Chehra Ke Noore Baari Hijab Me He

Uthado Pardah Dikhaado Chehra Ke Noore Baari Hijab Me He
Zamaana Taareekh Ho Rahaa Hai Ke Mehr Kab Se Naqaab Me He

Nahi Wo Meethi Nigaahe Waala Khuda Ki Rahmath He Jalwa
Farma Ghazab Se Unke Khuda Bachaaye Jalaale Baari Itaab Me He


Jali Jali Boo Se Uski Paidaa na Sauzishe Ishqe Chashm Waala
Kabaabe Aahoo Me Bhi Na Paaya Mazaa Jo Dil Ke Kabaab Me He

Unhi Ki Boo Ma Ya’e Saman He Unhi Ka Jalwa Chaman Chaman
He Unhi Se Gulshan Mahak Rahe He Unhi Ki Rangat Ghulab Me He


Khare He Munkar Nakir Sar Par Na Koyi Haami Na Koyi Yaawar
Bataado Aakar Mere Payambar Ke Sakht Mushkil Jawab Me He


Khuda-E Qah’haar He Ghazab Par Khule He Badkaariyo Ke Daftar
Bachaalo Aakar Shafi-E Mehshar Tumhara Banda Azaab Me He


Kareem Aisa Mila Ke Jiske Khule He Haath Aur Bhare Khazaane
Bata’o Ae Mufliso Ke Phir Kyoo Tumhara Dil Iztaraab Mein He


Kareem Apne Karam Ka Sadqa La’eem Be qadr Ko Na Sharma
Tu Aur Raza Se Hisaab Lena Raza Bhi Koyee Hisaab Me He.

1 comments:

Shehbaz said...

Subhan'allah

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More