Bakhte Kufta ne mujhe Roze pe jane na diya

Bakhte Kufta ne mujhe Roze pe jane na diya
Chashm o dil seene kalejay se lagane na diya

Ah qismat mujhe dunya k ghamoo ne roka
Ha'ay taqdeer k Taiba mujhe jane na diya

Paoon thak jaate agar paoon banata sar ko
Sar k bal jata magar zof/zok ne jane na diya


Sar to sar jaan se jane ki mujhe hasrat he
Mot ne ha'ay mujhe jaan se jane na diya

Sharbat e Deed ne or aag laga de dil mein
Tapsh e dil ko barhaya he, bujane na diya

Ab kahaan jae ga Naksha Tera mere dil se
Tehh me rakha he, Ise dil ne gumane na diya

Sajda karta jo mujhe is ki ijazat hoti
Kya karoon Izn mujhe is ka Khuda ne na Diya!

Mere a'amal ka badla to Jahannum hi tha
Mein to jaata, mujhe Sarkar ne jane na diya

Mere a'amal e sayah ne kiya jeena dobar
Zahr Khata, Tere Irshad ne khane na diya

Nafs e badkar ne dil par yeh qiyamat tori
Amal e naik kiya b to chupane na diya

Or Chamakti si Ghazal koi parho Ay Noori
Rang apna abhi jamn e Shu'ara ne na diya

Bakhte Kufta ne mujhe Roze pe jane na diya
Chashm o dil seene kalejay se lagane na diya

(Sallallahu Alahi wa Sallam)

Naats & Manqabat Lyrics kalaam e Hazrat Jamil e Qadri RadiaAllahu anhu

Ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam

Ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam
zeenat-e arsh-e mu'alla, assalat-o-wassalam

rabbi-habli-ummati kehte huway paida huay
rab ne farmaya ke bakhsha assalat-o-wassalam

ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,
zeenat-e-arsh-e mu'alla, assalat-o-wassalam

sar jhuka kar ba adab ishq-e rasoolallah may,
keh raha he har sitara assalat-o-wassalam

ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,
zeenat-e-arshe-e mu'alla, assalat-o-wassalam

mu'mino padhthay raho tum apnay aqa par durood
he farishto ka wazifa, assalat-o-wassalam

ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,
zeenat-e-arshe mu'alla, assalat-o-wassalam

mein woh sunni hu jamil-e qadri marnay ke ba'd
mayra laasha bhi kahe ga assalat-o-wassalam

ae shahenshah-e-madina assalat-o-wassalam
zeenat-e-arshe mu'allah, assalat-o-wassalam

jab firishtay qabr mein jalwa dhikha-e aap ka
ho zabban par pyaare aqa, assalat-o-wassalam,

ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,
zeenat-e-arsh-e mu'allah, assalatowassalam.

Suna JangaL Raat Andheri Chhai BadLi KaLi Hai

Suna JangaL Raat Andheri Chhai BadLi KaLi Hai
Sone WaLo Jaagte Rahiyo Choro ki RakhwaLi Hai

Aankh Se KaajaL Saaf ChuraLe Yaa Wo Chor BaLaa K Hai Teri Gathri Taaki hai Or Tune Nind NikaLi Hai

Ye Jo Tujhko BuLata Hai Thag H Maar Hi Rakhega
Haaye Musafir Dam Me Na Ana Mat Kaisi MatwaLi Hai

Sona Paas H Sona Band Hai Sona Zaher Hai Uth Pyare
Tu Kaheta Hai Meethi Nind Hai,Teri Mat Hi NiraLi Hai

Saathi Saathi Kahe Ke Pukaaro Saathi Hoto Jawab Aaye
Fir JhunjhLa Ke Sar De Patko ChaL Re MauLaa WaaLi Hai

Duniya ko Tu Kya Jaane Ye Bas ki Gaanth Hai Huraafa
Surat Dekho ZaaLimo Ki To Kaisi BhoLi BhaaLi Hai

Shahed Dikhaye Zaher PiLaaye QaatiL Daayen Shohar Kush Is Murdaar Pe Kya LaLchaye Duniya Dekhi BhaaLi Hai

Wo To Nihayat Sastaa Soda Bech Rahe Hai Jannat Ka
Ham MufLis Kya MoL Chukaye Apna Haath Hi KhaaLi Hai

Tum To Chaand Arab Ke ho Pyare Tum To Ajam Ke Suraj Ho Dekho Mujh Bekas Par Shab Ne Kaisi Aafat DaaLi Hai

MoLa Tere Ufudo Karam Ho Mere Gawah Sifayi k Warna RAZA se chor Pe Teri Digri To IQbaLi Hai.

Ya ilaahi har jaga teri ataa ka saath ho

Ya ilaahi har jaga teri ataa ka saath ho
Jab pare mushkil sha'e mushkil kusha ka saath ho
O Allah! In every instance let me be blessed by Your Bounties
When I am in calamity, Let me be with the Eradicator of all calamities.

Ya ilaahi bhool jawu naza'ki takleef ko
Shaadiye deedare husne Mustafa ka saath ho
O Allah! Let me not remember the difficulties of death,
When blessed by the joy of seeing the Holy Prophet (SalAllahu Alaih Wasallam)

Ya ilaahi gor teera ki jab aayeh sakht raat
Unke pyaare mu ki subha jaa fiza ka saath ho
O Allah! When the night of darkness in the grave finally comes
Let it be brightened by the Holy Prophet (SalAllahu Alaih Wasallam)’s Blessed Face which gives hope

Ya ilaahi jub pare mahshar me shore daar-o-geer
Amn dene waale pyaare peshwa ka saath ho
O Allah! In the Hereafter when there will be total pandemonium
Let me be with our Leader, the Granter of Salvation

Ya Ilaahi Jub Zabaane Baahar Aayey Pyaas Se
Saahib-e-Kauthar Sha'e Jood-o-ataa Ka Saath Ho
O Allah! When our tounges hang in immense thirst
Let us be blessed by the Distributor of Kawthar & The Generous King

Ya ilaahi sard-e-mehri par ho jab khurshid-e-hashr
Sayyad-e-besaaya ke zille-e-liwaa ka saath ho
O Allah! When the Hot Sun is over our heads on the day of Reckoning
Let us be under the shade of the Banner of the Shadowless Master

Ya ilaah garmi-e-mahshar seh jub bharke badan
Daaman-e-mahboob ki thandi hawaa ka saath ho
O Allah! When our bodies burn up in the heat of the Day of Reckoning,
Let us be in the cool breeze from the Presence of the Holy Prophet (SalAllahu Alaih Wasallam)

Ya ilaahi nama-e-a'maal jab khulne lage
Aib-e-pooshe khalq sat'taare khata ka saath ho
O Allah! When the books of our deeds are opened
Let the sins of the servants be hidden by the One who conceals our shortcomings

Ya ilaahi jub bahe aankhe hisaab-e-jurm me
Un tabassum rez-e-honto ki dua ka saath ho
O Allah! When our eyes tear in accountabililty of our sins
Let us be blessed with prayers from his sweet smiling Mouth

Ya ilaahi jub hisaabe khanda-e-bejaa rulaaye
Chashme giryaane shafi-e-murtaja ka saath ho
O Allah! When the Accountability causes us to cry in vain
Let us be blessed with the Intercession of our Master who hurts for us

Ya ilaahi rang laayi jab meri be haaqiyah
Unki neechi neechi nazro ki hayaa ka saatho ho
O Allah! When my daring actions are unveiled before all
Let me be with the modesty of the Lowered Gaze of the Beloved Prophet (SalAllahu Alaih Wasallam)

Ya ilaahi jab chalo tareekh raahe pul siraate
Aftaab-e-haashmi noorul huda ka saath ho
O Allah! When we walk over the dark bridge of Pul Siraat
Let us be with the guiding Light of the Holy Prophet (SalAllahu Alaih Wasallam)

Ya ilaahi jub sare shamsheer par chalna pare
Rabbe sallim kehne waale ghamzudah ka saath ho
O Allah! When we have to walk on the sword-like path,
Bless us as the One who removes grief says, "O Allah allow them safe passage"

Ya ilaahi jo dua'e nek hum tujhe se kare
Qudsiyo ke lub se aameen rab'bana ka saath ho
O Allah! For all the Good things which we invoke You
Allow the Angels to say, "Ameen O Allah" for whatever we ask

Ya ilaahi jab raza khaab-e-giraa say sar utaa'ay
Daulat-e-baydaar ishk-e-Mustafa ka saath ho
O Allah! When Raza raises his head from his precious sleep,
Let him be given the Gift of awakening in the Love of the Beloved Prophet (SalAllahu Alaih Wasallam)

Ya ilaahi lay chalay jub dafan karnay qabar may
Ghaus-e-azam peshwa'ay awliya ka saath ho
O Allah! When I am taken towards my grave for my burial
Let Ghaus-e-Azam the Leader of the Awliya be with Me

Sartaba qadam hai tanay, Sultan e Zaman phool


Sartaba qadam hai tanay, Sultan e Zaman phool
Lab phool dahan phool zatan, phool badan phool


Tinka bhi hamarey, hilaye nahin hilta
Tum chaho to ho jaye abhi, kohay mehan phool.


Sadqay mein teray baag to, kiya laye hain maan phool
Eis ghuncha e dil ko bhi to, imaanhoon kay ban phool


Wallah Jo Mil Jaaye Mere Gul Ka Paseena
Maange Na Kabhi Itar Na, Phir Chahe Dulhan Phool.

Dil apna bhi shadai hai, us naakhunay-pa ka
Itna bhi maheno-pay na, Ae charkhay kohan phool.

Kiya baat Raza us chamanistan e karam ki,
Zahra hai kali jis mein Hussain aur Hassan phool.

Sartaba Qadam hai tanay, sultan e Zaman phool
Lab phool dahan phool zatan, phool badan phool

woh su'ey laalah zaar phirtey haiN

woh su'ey laalah zaar phirtey haiN
tere din ay bahaar phirtey haiN

jo terey dar se yaar phirtey haiN
dar ba dar yuN hi khaar phirtey haiN

aah kal `aysh to kiye hum ne
aaj woh be qaraar phirtey haiN

har charaaghe mazaar par qudsee
kaysa parwaanah waar phirtey haiN

us gali kaa gadaa huN maiN jis meiN
maangtey taajdaar phirtey haiN

jaan haiN jaan kyaa nazar aaye
kyuN `adu gird e ghaar phirtey haiN

phuul kyaa dekhuN meri aankhoN meiN
dasht e taybah ke khaar phirtey haiN

laakhoN qudsi haiN kaam e khidmat par
laakhoN gird e mazaar phirtey haiN

rakhiye jaise haiN khaana zaad haiN hum
mol ke `ayb daar phirtey haiN

haay ghaafil woh kyaa jagaah hai jahaaN
paanch jaatey haiN chaar phirtey haiN

jaag sun saan ban hai raat aayee
gurg bahr e shikaar phirtey haiN

nafs ye koyi chaal hai zaalim
jayse khaaSey bijaar phirtey haiN

koyi kyuN puuche teri baat razaa
mujh se kuttay hazaar phirtey haiN

rukh din hai yā mihr-e-samā, yeh bhi nahiN who bhi nahiN

rukh din hai yā mihr-e-samā, yeh bhi nahiN who bhi nahiN
shab zulf yā mushk-e-khatā, yeh bhi nahiN who bhi nahiN



mumkin meiN yeh qudrat kahāN, wājib meiN ábdiyyat kahāN
ĥayrāN huN yeh bhi hai khaţā, yeh bhi nahiN woh bhi nahiN



bulbul ne gul un ko kahā, qumrī ne sarv-e-jāN fazā
ĥayrat ne jhunjhlā kar kahā, yeh bhi nahiN who bhi nahiN



khurshīd thā kis zor par, kyā baDhke chamkā thā qamar
bey pardah jab who rukh huwā, yeh bhi nahiN woh bhi nahiN



Dar thā ke işyāN kī sazā, ab ho giyā roz-e-jazā
dee un ki raĥmat ne şadā, yeh bhi nahiN who bhi nahiN



koyī hai nā zāN zuhd par, yā ĥusn-e-taubā hai sipar
yāN hai faqaţ terī áţā, yeh bhi nahiN who bhi nahiN



din lahw meiN khonā tujhey, shab şub’ĥ tak sonā tujhey
sharm-e-nabīy, khauf-e-khudā, yeh bhi nahiN woh bhi nahiN



rizq-e-khudā khāyā kiyā, farmān-e-ĥaqq Tālā kiyā
shukr-e-karam, tars-e-sazā, yeh bhi nahiN who bhi nahiN



hai bulbul-e-rangīN razā, yā ţūţi-e-naghmā sarā
ĥaqq yeh ke wāşif hai terā, yeh bhi nahiN who bhi nahiN

Phir Ke Gali Gali Tabaah Thokare Sab Ki Khayen Kyoon

Phir Ke Gali Gali Tabaah Thokare Sab Ki Khayen Kyoon
Dil Ko Jo Akal De Khuda Teri Gali Se Jayen Kyoon

Rukhsate Qaafila Ka Shor Gashse Hame Uthae Kyoon
Sote Hain Unke Sayen Mein Koyi Hamme Jagaaye Kyoon

Yaade Huzoor Ki Qasam Gaflate Aish He Sitam
Khoob Hai Qaide Ghum Mein Hum Koyee Hamme Chhurae Kyoon

Dekh Ke Hazrate Gani Phel Pare Faqeer Bhi
Chaayi He Ab To Chauni Hashr Hi Aana Jae Kyoon

Jaan He Ishqe Mustafa Roz Fizoo Kare Khuda
Jis Ko Ho Dard Ka Mazaa Naaze Dawa Uthae Kyoon

Woh Jo Nathe To Kuch Natha Woh Jo Naho To Kuch Naho
Jaan Hai Woh Jahan Ki, Jaan Hai To Jahaan Hai

Hai To Raza Nira Sitam Jurm Pe Gar Lajaaye Hum
Koyee Bajaaye Soze Gam Saze Tarab Bajaaye Kyoon

(Sallallahu Alahi wa Sallam)

Arshe Haq He Musnade Rif’At Rasoolullah Ki

Arshe Haq He Musnade Rif’At Rasoolullah Ki
Dekhni He Hashr Me Izzat Rasoolullah Ki

Qabr Me Lehraa-E-Ge Tha Hasr Chashme Noor Ke
Jalwah Farma Hogi Jab Tal’At Rasoolullah Ki

Laawarabbil Arsh Jisko Jo Mila Unse Mila
Bat’Ti He Kownain Me Ne’Mat Rasoolullah Ki

Wo Jahannum Me Gayajo Unse Mustaghni Huwa
Hai Khalleelullah Ko Haajat Rasoolullah Ki

Sooraj Ulthe Paaw Palthe Chaand Ishaare Se Ho Chaak
Andhe Najdi Dekhle Qudrat Rasoolullah Ki

Tujhse Aur Jannat Se Kya Matlab Wahabi Door Ho
Hum Rasoolullah Ke, Jannat Rasoolullah Ki

Hum Bhikaari Wo Kareem, Unka Khudaa Unse Fizoo
Aur Naa Kehna Nahee Aadat Rasoolullah Ki

Ahle Sunnat Ka He Bera Paar Ashaabe Rasool
Najm He Aur Naav Hai Itrat Rasoolullah Ki

Toot Jaa-Enge Gunaahgaro Ke Fawran Qaid-O-Bund
Hashr Ko Khuljaaegi Taaqat Rasoolullah Ki

Ya Rabb Ik Saa’At Me Dhul Jaa-E Siyaahkaro Ke Jurm
Josh Par Aajaaye Ab Rehmat Rasoolullah Ki

Ae Raza Khud Saahibe Quraan Hai Mud’Daahe Huzoor
Tujhse Kab Mumkin He Phir Midhat Rasoolullah Ki

(Sallallahu Alahi wa Sallam)

Hain Kalaame Ilahi Me Shamso Doha

Hain Kalaame Ilahi Me Shamso Doha
Tere Chehra-E Noor Fiza Ki Qasam

Qasame Shabbe Taar Me Raaz Ye Tha
Ke Habeeb Ki Zulfe Dota Ki Qasam

Tere Khulq Ko Haq Ne Azim Kaha
Teri Khalq Ko Haq Ne Jameel Kiya

Koyee Tujhsa Huwa He Na Hoga Shaha
Tere Khalike Husno Ada Ki Qasam

Wo Khuda Ne Hai Martabe Tujko Diya
Na Kisi Ko Mile Na Kisi Ko Mila

Ke Kalaame Majid Ne Khayi Shaha
Tere Shehro Kalaamo Baqaa Ki Qasam

Tera Masnade Naaz He Arshi Bari
Tera Mehrame Raaz He Roohi Ami

Toohi Sarware Har Do Jahan He Shaha
Tera Misl Nahin He Khuda Ki Qasam

Yehi Arz He Khaaliqe Arzo Samaan
Woh Rasool Haitere Me Bandaa Tera

Muje Unke Jawaar Me De Wo Jagaa
Ki Khuld Ko Jiski Safa Ki Qasam

Toohi Bando Pe Kar Ta He Lutfo Ata
He Tujhi Pe Barosa Tujhi Se Dua

Mujhe Jalwaa Paake Rasool Dikha
Tujhe Apne Hi Izzo Ula Ki Qasam

Yehi Kehti He Bulbule Baage Jinaa
Ke Raza Ki Tarah Koyee Sehr Bayan

Nahin Hind Me Wasife Shahe Huda
Mujhe Shokhi-E Tabi Raza Ki Qasam

Adaa-e-Mustafa Tum ho, Raza-e-Mustafa Tum ho

Mufti-e-Aazam e Alam Mustafa Raza khan RadiaAllahu anhu Ki Bargah Mein Khiraj-e-Aqeedat--> By Hazrat Allama Rehan Raza RehmaniMiya AlehiRehmah


Adaa-e-Mustafa Tum ho, Raza-e-Mustafa Tum ho
Her Eik Anwaar Se Aiy Muqtada Ahmed Raza Tum ho

Shabeeh-e-Hazrat-e-Ghou-ul-Wara Ibn-e-Raza Tum Ho
Jahan-e-Ilm Ke Mufti-e-Aazam Mustafa Tum Ho

Vali Ibne Vali Zinda Vali ho Paarsa Tum Ho
Saraapa Zohd Tum ho, Aur Paiker-e-Sidqo safaa Tum ho

Tumhare Zahir-O-Batin Pe Naaza Paarsai Hai

Jo Khair-e-Atqiyaa Tum ho To Naaz-e-Asfiyaa Tum Ho

Pilaado Jaam-e-Noori Apni Noorani Nigaaho Se
Ke Noori Maikadah Ke Meer Mere Saaqiya Tum Ho

Meri Duniya-e-Deen Ka Maa-Hasal Ulfat Tumhari Hai
Qiyamat Mein Mere Maawa Wa Maljaa Aasra Tum ho

Kisi Ko Kiyon Sunaaun Daastan Apne Masayeb Ki
Mere Dukh Ki Dawa Tum ho Mere Mushkil Kusha Tum ho

Mujhe Toufiq Sabr-O-Isteqamat Bakhsh do Aaqa
Mujassam Isteqamat Paiker-e-Sabr-O-Raza Tum Ho

Ussi Mithi Nazar Se Dekh Lo Fir Apne Mangta Ko
Ke Uski Aarzu Wa Hasrat Tamanna Mud-dua Tum ho

Tumhari Zaat Mein Jalwe Raza Hamid Raza Ke Hain
Mere Hamid Raza Tum Ho Mere Ahmed Raza Tum ho

Woh Mere Saamne hain Poochhte Hain Aarzu Kiya Hai
Mere Moula Zubaa'n Dede Keh doon Mud-dua Tum ho

Sakhi Tum Ho Main Sayil Hoon, Vali Tum ho Main Aasi Hun
Mareez-e-Dard-e-Isyaa'n Hoon Dawa Tum ho Shifa Tum ho

Raza Wa Hamid-o-Noori Ka Gulshan Hai Baharo Per
Shagufta Iss Chaman Mein Khair se Rehaan Raza Tum Ho

Dhoondhte Dhoondhte Is Deher Mein Thak Jaoge

Manqabat on Tajdare Ahle sunnat, Mufti e Azam e Alam, Mujadid Ibne Mujadid, Mustafa Raza khan Quadri RadiaAllahu anhu

Dhoondhte Dhoondhte Is Deher Mein Thak Jaoge
Aisa Murshid Na Zamane Mein Kahin Paoge

Jab Kabhi Sheher-e-Bareily Ki Taraf Jaoge
Unke Rowze Pe Madeene Ki Hawa Khaoge

Wo Sakhi Ibn-e-Sakhi hai Wo Vali Ibn-e-Vali
Unke Darwaze Se Khaali Na Kabhi Aaoge

Kiya Mere Ghar Ki Ydaasi Na Kabhi Jaayegi
Kiya Ghareebo Ke Yahan Ab Na Kabhi Aaoge

Meri Roti Huee Aankho ne Pukara Hai Tumhe
Aiy Mere Shaikh Mere Khwaab Mein Kab Aaoge

Aansuo Ab Meri Aankhon hi mein Rehna Seekho
Daman-e-Mufti-e-Aazam Na Kahin Paaoge

Koun Sunta Hai Yahan Raaz Faghan-e-Durwesh
Dil-e-Betaab Liye Kis Ki Taraf Jaaoge

Shuja’ath Naaz karthi he jalaalath naaz karthi he

Shuja’ath Naaz karthi he jalaalath naaz karthi he

Woh sultaane zamaan he un pe shaukath naaz karthi he

Sadaaqath naaz karthi he amaanath naaz karthi he

Humiyyath naaz karthi he murawwath naaz karthi he

Shahe khoobana pe har khoobi-o khaslath naaz karthi he

Kareem aise hein woh un par karaamath naaz karthi he

Jahaan e husn me bhi kuch niraali shaan he un ki

Nabi ke gul pe gulzaarown ki zeenath naaz karthi he

Shehanshaahe shaheedaan ho anokhi shaan waale ho

Husain ibne ali thum par shahaadath naaz karthi he

Bit’ha kar shaana e aqdas pe kardi shaan do bala

Nabi ke laadlown par har fazeelath naaz karthi he

Nigaah e naaz se naqsha badal deythe hein aalam ka

Adaa-e sarware khoobaan pe nudrath naaz karthi he

Fidaa-i hoon tho kis ka hoon koi dekhe meri qismath

Qadam par jis Haseen ke jaane thal’ath naaz karthi he

Khude ke fazl se Akhthar mai unka naam lewa hoon

Me hoon qismath pe naazaan mujh pe qismath naaz karthi he

Bagh Jannat Ke Hain behr madha khan-e-Ahelbait

Bagh Jannat Ke Hain behr madha khan-e-Ahelbait

Tum ko mujda naar ka aye dushmanan-e-Ahelbait



Kis zaban se ho bayan izzo shane-e-Ahelbait

Madha goe Mustafa hai,madha Khan-e-Ahelbait



Unki paki ka Khuda-e-pak karta hay bayan

Aya-e-Tatheer se zahir hay Shan-e-Ahelbait



Apna soda baich kar bazaar soona kar gaee

Kon si basti basaee tajran-e-Ahelbait



Razm ka maidan bana hay jalwa gahe Husn-o-Ishq

Karbala main ho raha Imtehan-e-Ahelbait



Phool zakhmo kay khilae hai Hawae dost nay

Khoon say seencha gaya hai Gulsatan-e-Ahelbait



Jumma ka din hay kitab-ezeest kit eh kar kay aaj

Khailty hay jan par Shezadgan-e-Ahelbait



Aey shabab-e-fasl gul yeh chal gai kaisi hawa

Kat raha hay lelehata bostan-e-Ahelbait



Kis shaqi ki hay hakomat ha-ee kiya andhair hay

Din dehare lut raha hay Karwan-e-Ahelbait



Kushk ho ja khak ho kar khak main mil ja Furat

Khak tujh par,daikh to sookhi zaban-e-Ahelbait



Teri qudrat janwar tak aab say serab hoo

Auo piyas ki shidat main tarpy bayzuban-e-Ahelbait



qafla salar manzil ko chaly hay sonp kar

waris bay warisa ko karwan-e-Ahelbait



Fatima  kay laadly ka aakhri didar hay

Hashr ka hangama barpa hay mayan-e-Ahelbait



Waqt akhir keh raha hay khak main milta suhag

Ke loo salam aakhri aay bewgan-e-Ahelbait





Inke ghar mein be ijazat Jibrael aate nahi

Qadr wale jante hain qadr shane-e-Ahelbait



Be Adab Gustaakh Firke Ko Sunade Ae Hasan

Youn Kaha Karte Hai Sunni Daastaan e Ahle Bayth

Jalawa hai Noor hai ke sarapa RAZA ka hai

Manqabat on Imam e Ahle sunnat Mujadid Imam Ahmed Raza khan Quadri RadiaAllahu anhu

Jalawa hai Noor hai ke sarapa RAZA ka hai.
Tasveer e Sunniyat hai ke chehra RAZA ka hai.

Wadi RAZA ki kohe Himala RAZA ka hai.
jis simt dekhiye wo ilaaka RAZA ka hi.

dastaar aa rahi hai zameen per jo sar uthe.
kitna buland aaj farera RAZA ka hai.

Jo usne likh diya hai sanad hai wo deen mein.
Ahle kalam ki aabru nukta RAZA hai.

dariya fasahaton ke rawa shairee mein hai.
ye sahele muntame hai ke lehja RAZA ka hai.

is daur e purfitan mein nazar kush aqeedgi.
SARKAR ka karam hai wasila RAZA ka hai
.
Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More